Film: Dilli Ka Thug – Delhi Thug
Jahr: 1958
Regie: S.D. Narang
Interpreten: Asha Bhosle, Kishore Kumar
Komponist: Ravi
Lyrics: Shailendra
C.A.T. Cat, Cat maane billi, R.A.T. Rat, Rat maane choohaa
arrey dil hai tere panje mein to kyaa huaa
M.A.D. Mad, Mad maane paagal, B.O.Y. Boy, Boy maane laDkaa
arrey matlab iskaa tum kaho to kyaa huaa) -2
aaa aaa aaa aa -2
ari baaNvri tu ban jaa meri, zaraa sun main kyaa kahtaa hooN
aa: zaraa dekh idhar tujhe hai Khabar, tu hai kaun aur main kyaa hooN -2
G.O.A.T. Goat, Goat maane bakri, L.I.O.N. Lion, Lion maane sher
arrey dil hai tere panje mein to kyaa huaa
M.A.D. Mad, Mad maane paagal, B.O.Y. Boy, Boy maane laDkaa
arrey matlab iskaa tum kaho to kyaa huaa
lage taakne kabhi aapne, sheeshaa leke mooNh dekhaa bhi
tumhi ik nahin jahaaN mein hasiN, na hogaa koi ham saa bhi -2
N.O.S.E. Nose, Nose maane naak, C.R.O.W. Crow, Crow maane kauvaa
arrey matlab iskaa tum kaho to kyaa huaa
huN huNhuN, C.A.T. Cat, Cat maane billi, R.A.T. Rat, Rat maane choohaa
arrey dil hai tere panje mein to kyaa huaa
aaa aaa aaa aa -2
milaa le nazar o jaan-e-jigar, teraa kyaa karegi duniyaa
jahaaN se Daro ye sochaa karo, hamen kyaa kahegi duniyaa
arrey milaa le nazar o jaan-e-jigar, teraa kyaa karegi duniyaa
jahaaN se Daro ye sochaa karo, hamen kyaa kahegi duniyaa
B.A.D. Bad, Bad maane buraa, B.U.T. But, But maane lekin
arrey dil hai tere panje mein to kyaa huaa
M.A.D. Mad, Mad maane paagal, B.O.Y. Boy, Boy maane laDkaa
arrey matlab iskaa tum kaho to kyaa huaa