Salaam-E-Ishq

Film: Muqaddar Ka Sikandar
Jahr: 1978
Regie: Praka Mehra
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Anjaan

Salaam-e-ishq meri jaan zara kabool kar lo – 2 x
Tum humse pyaar karne ki zara si bhool kar lo
mera dil bechain hai
mera dil bechain hai humsafar ke liye – 2 x
Salaam-e-ishq meri jaan …

Main sunaoon tumhe baat ik raat ki – 2 x
Chand bhi apni puri jawani mein tha
Dil mein tufaan tha
Ek Armaan tha
Dil ka tufaan apni rawani mein tha
Ek badal …
Ek badal udhar se chala jhoom ke
Dekhte dekhte chand pe chha gaya
Chand bhi kho gaya uske aaghosh mein
Uff, yeh kya ho gaya josh hi josh mein
Mera dil tadpa
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan …

Iske aage ki ab dastaan mujhse sun – 2 x
Sun ke teri nazar dabdaba jayagi
Baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi,
Mera dawa hai hoton pe aa jayegi

Tu masiha …
Tu masiha mohabbat ke maron ka hai – 2 x
Hum tera naam sun kar chale aaye hain
Ab dua de hamein ya tu de de zeher
Teri mehfil mein ye dil jale aaye hain
Ek ehsaan kar …
Ehsaan kar
Ek ehsaan kar, apne mehmaan par
Apne mehmaan par ek ehsaan kar
De Duaein
De Duaein use umra bhar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan …