Film: Phir Wohi Dil Laya Hoon
Jahr: 1963
Regie: Nasir Hussain
Interpreten: Mohd. Rafi, Asha Bhosle
Komponist: O.P. Nayyar
door bahut mat jaaiye, leke qaraar hamaaraa
aisaa na ho, koi loot le, raah mein pyaar hamaaraa
paas raho yaa door tum, tum ho saath hamaare
denge gavaahi poochh lo, ye khaamosh nazaare
naaznin badaa rangin hai vaadaa teraa
o hasin, hai kidhar kaa iraadaa teraa – 2 x
aankh mudti huyee, zulf udti huyee
faaslaa kyon hai zyaadaa teraa
o hamdam mere, khel na jaano chaahat ke iqraar ko
jaan-e-jahaaN, yaad karoge, ik din mere pyaar ko
chhaaye ho, mere dil pe, nazar pe tumhin
aaj to, meri ulfat kaa kar lo yakin – 2 x
aji hamse tumhen ek lagaavat to hai
tumhen hamse muhobbat nahin
o hamdam mere, khel na jaano chaahat ke iqraar ko
jaan-e-jahaaN, yaad karoge, ik din mere pyaar ko
hamsafar, tu hi meraa hai lekin sanam
saath mein, hain kisi ajnabi ke kadam – 2 x
meri uljhan yunhi besabab to nahin
dil ki betaabiyon ki kasam
o..
hamdam mere, khel na jaano chaahat ke iqraar ko
jaan-e-jahaan, yaad karoge, ik din mere pyaar ko
hamdam mere, khel na jaano chaahat ke iqraar ko
jaan-e-jahaan, yaad karoge, ik din mere pyaar ko