Bollyblog

Jawaani Jaan-E-Man

Film: Namak Halal
Jahr: 1982
Regie: Prakash Mehra
Schauspieler: Amitabh Bachchan, Parveen Babi
Interpret: Asha Bhosle
Komponist: Bappi Lahiri
Lyrics: Anjaan

Jawaani jaan-e-man haseen Dilruba
Milein do Dil jawaan nisaar ho gaya
Jawaani jaan-e-man haseen Dilruba
Milein do Dil jawaan nisaar ho gaya
Shikaar khud yahaan shikaar ho gaya
Yeh kya sitam huwa
Yeh kya gulam huwa
Yeh kya ghazab huwa
Yeh kaise kab huwa
Na jaanoon main na jaane woh, aha
Jawaani jaan-e-man haseen Dilruba
Milein do Dil jawaan nisaar ho gaya

Aayi door se dekho Dilruba aisi turuturutu
Khaayi bezubaan Dil ne chot yeh kaisi
Arre woh, haan haan, mili nazar
Arre yeh, haan haan, huwa asar
Nazar nazar mein yeh sama badal gaya
Chalaaya teer jo mujhi pe chal gaya
Ghazab huwa, yeh kya huwa, yeh kab huwa
Na janoon main na jaane woh, oho
Jawaani jaan-e-man haseen Dilruba
Milein do Dil jawaan nisaar ho gaya
Shikaar khud yahaan shikaar ho gaya
Yeh kya sitam huwa
Yeh kya gulam huwa
Yeh kya ghazab huwa
Yeh kaise kab huwa
Na jaanoon main na jaane woh, oho

Dil yeh Pyaar mein kaise
Khota hai dekho, aha aha aha aha
Kaatil jaan-e-man kaise
Hota hai dekho
Arre woh, haan haan, mila sanam
Arre yeh, haan haan, huwa sitam
Woh Dushman jaana Dildaar ho gaya
Ke aaj tak bilkul use Pyaar ho gaya
Ghazab huwa, yeh kya huwa, yeh kab huwa
Na janoon main na jaane woh, aha
Jawaani jaan-e-man haseen Dilruba
Milein do Dil jawaan nisaar ho gaya
Shikaar khud yahaan shikaar ho gaya
Yeh kya sitam huwa
Yeh kya gulam huwa
Yeh kya ghazab huwa
Yeh kaise kab huwa
Na jaanoon main na jaane woh

Pag Ghungroo Bandh

Film: Namak Halal
Jahr: 1982
Regie: Prakash Mehra
Schauspieler: Amitabh Bachchan
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: Bappi Lahiri
Lyrics: Anjaan

Buzurgon Ne, Buzurgon Ne, Farmaya Ki Pairon Pe Apne Khade Hoke Dikhlaao
Phir Yeh Zamaana Tumhaara Hai
Zamaane Ke Sur Taal Ke Saath Chalte Chale Jaao
Phir Har Taraana Tumhaara Fasaana Tumhaara Hai
Arey To Lo Bhaiya Hum
Apne Pairon Ke Oopar Khade Ho Gaye
Aur Milali Hai Taal
Dabaalega Daaton Tale Ungliyan,Liyan
Yeh Jahan Dekhkar, Dekhkar Apni Chaal
Wah Wah Wah Wah
Dhanvad

Ki Pag Ghungroo
Ki Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi – 2 X
Aur Hum naachen Bin Ghungroo Ke
Ki Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi
Woh Teer Bhalaa, Kis Kaam Ka Hai
Jo Teer Nishaaane Se Chooke Chooke Chooke Re!
Ki Pag Ghungroo

Aap Andar Se Kuch Aur
Bahar Se Kuch Aur Nazar Aate Hain
Bakhuda Shakal Se To Chor Nazar Aate Hain
Umar Guzari Hai Saari Chori Mein
Saare Sukh Chain Band Jurm Ki Tijori Mein

(Aap Ka To Lagta Hai Bas Yahi Sapna
Ram Naam Japna Paraya Maal Apna) – 2 X
Watan Ka Khaaya Namak To Namak Halaal Bano
Farz Imaan Ki Zinda Yahaan Misaal Bano
Paraya Dhan Parayi Naar Pe Nazar Mat Dalo
Buri Aadat Hai Yeh Aadat Abhi Badal Dalo
Kyonke Yeh Aadat To Woh Aag Hai Jo
Ik Din Apna Ghar Phoonke Phoonke Phoonke Re!
Ki Pag Ghungroo

Mausam-E-Ishq Mein Machale Huwe Armaan Hain Hum
Dil Ko Lagta Hai Ke Do Jism Ek Jaan Hai Hum
Aisa Lagta Hai To Lagne Mein Kuchh Buraayi Nahin
Dil Yeh Kehta Hai Aap Apni Hain Paraayi Nahin
Sange Marmar Ki Hai, Koi Moorat Ho Tum
Badhi Dilkash Badhi, Khubsoorat Ho Tum
Dil Dil Se Milne Ka Koi Mahoorat Ho Pyaase Dilon Ki Zaroorat Ho Tum
Dil Cheer Ke Dikhladoon Maein Dil Mein Yahin Soorat Haseen
Kya Aapko Lagta Nahin Hum Hain Mile Pehle Kahin
Kya Desh Hai Kya Jaat Hai
Kya Umra Hai Kya Naam Hai
Aji Chhodhiye In Baaton Se Humko Bhala Kya Kaam Hai
Aji Suniye To
Hum Aap Milen To Phir Ho Shuroo Afsaane Laila Majnoo Laila Majnu Ke
Ki Pag Ghungroo

Krishna Dharti Pe

Film: Disco Dancer
Jahr: 1982
Regie: Babbar Subhash
Schauspieler: Mithun Chakraborty, Kim, Om Puri, Rajesh Khanna
Interpret: Vijay Benedict
Komponist: Bappi Lahiri
Lyrics: Anjaan-Faruk Kaiser

Krishna dharati pe aaja tu
Krishna Pyaar sikha ja tu – 2 x
Oooo … O Prabhu Krishna!

Zindagi kuch nahi dard hai Pyaas hai
har khushi hai wahan tu jahan paas hai
aaja aaja aaja mita de trishna
Oooo … O Prabhu Krishna!

Chher de bansuri geet wo Pyaar ke
jhoom ke hum jiye Pyaar me haar ke – 2 x
aaja aaja aaja mita de trishna
Oooo … O Prabhu Krishna!

bin tere hum yahan is tarah kyon jiyen
Raat din dard ka ye zehar kyon piyen
aaja aaja aaja mita de trishna
Oooo … O Prabhu Krishna!

Krishna dharati pe aaja tu
o Krishna, o Krishna, o Krishna
Krishna pyaar sikha ja tu
o Krishna, o Krishna, o Krishna
Oooo … O Prabhu Krishna! – 2 x

Krishna …