Bollyblog

Suhaani Raat

Film: Dulari
Jahr: 1949
Regie: Abdul Rashid Kardar
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Suhaani raat dhal chuki
Na jaane tum kab aaoge) – 2 x
Jahan ki rut badal chuki
Na jaane tum kab aaoge
Nazaarein apni mastiyaan dikha dikhaake so gaye
Sitaarein apni roshni luta lutaake so gaye
Har ek shamma jal chuki
Na jaane tum kab aaoge

Suhaani raat dhal chuki
Na jaane tum kab aaoge
Tadap rahe hai hum yahan
Tadap rahe hai hum yahan tumhaare intezaar mein
Tumhaare intezaar mein
(Fiza ka rang aa chala hai
Mausam-e-bahaar mein) – 2 x
Mausam-e-bahaar mein
Hawa bhi rukh badal chuki
Na jaane tum kab aaoge
Suhaani raat dhal chuki
Na jaane tum kab aaoge

I Am A Disco Dancer

Film: Disco Dancer
Jahr: 1982
Regie: Babbar Subhash
Interpret: Vijay Benedict
Komponist: Bappi Lahiri
Lyrics: Anjaan-Faruk Kaiser

Lyrics:
will you sing with me
say d.. say i.. say s.. c.. o..
disco disco disco disco

i am a disco dancer – 3 x
zindagi mera gaana
main kisi ka dewaana

to jhoomo to nacho
aao mere saath naacho gao
i am a disco dancer – 2 x

dosto meri ye zindagi geeto ki amaanat hai
main isiliye paida hua hoon
ye log kehte hain
main tab bhi gaata tha
jab bol pata nahi tha
ye pasun mere to tab bhi thirakte the
jab chalna aata nahi tha

nagmo ki masti hai
meri jawsani mein
hai dance mere
lahoo ki rawsani mein

yahan meri haar yahan meri jeet
yahi mere geet
to jhoomo to nacho
aao mere saath nacho gao
i am a disco dancer – 2 x

zindagi mera gaana
main kisi ka dewaana
to jhoomo to nacho
aao mere saath naacho gao
i am a disco dancer – 2 x

d se kya hota hai
darling aaha
deewana aaha
disco aaha
d se hota hai dance
i se hota hai item
s se hota hai singer
c se hota hai chorus
o se orchestra

hello beautiful
whats your name
nisha
tumhe maloom hai
jawaani kya hoti hai
nahi maloom

jawaani ek lehar hai
jawaani ek nasha hai
jawaani jis pe aata hai
wohi jaane ye kya hai

do din ki hasti mein
sadiyon ki masti hai
bindaas bhaagi jawaani
dil pyaase milte hain
aise jawaani mein
kaise mile aag paani

is umr mein kyun na
manmani kar jaaye
masti ki raaho mein
hadh se guzar jaaye

jahan mile pyaar
wahin mere yaar
ho jaye nisaar
to jhoomo to nacho
aao mere saath nacho gao
i am a disco dancer – 2 x

zindagi mera gaana
main kisi ka dewaana
to jhoomo to nacho
aao mere saath naacho gao
i am a disco dancer – 2 x

disco dancer …

In Ankhon Ki Masti Ke

Film: Umrao Jaan
Jahr: 1981
Regie: Muzaffar Ali
Interpret: Asha Bhosle
Komponist: Khayyam
Lyrics: Shahryar

Asha Bhosle live im BBC Studio, Birmingham, England (1985)
In ankhon ki masti ke, aah aah aah aah
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In ankhon se vaabasta
In ankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke
Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewane hazaaron hain
Deewane hazaaron hain

In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke, aah aah aah
Ek sirf humi mai ko, ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko ankhon se pilaate hain
Ankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain

In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke
Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke