Bollyblog

Rote Huye Aate Hain Sab

Film: Muqaddar Ka Sikandar
Jahr: 1978
Regie: Prakash Mehra
Schauspieler: Amitach Bachchan
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Anjaan

Rote huye aate hain sab hasataa huaa jo jaayegaa
wo muqaddar ka sikandar, jaana-ye-man kahalaayegaa

wo sikandar kyaa thaa jisane julm se jeetaa jahaan
pyaar se jeete dilon ko, wo zukaa de aasamaan
jo sitaaronpar kahaanee pyaar kee likh jaayegaa

jindagee to bewafaa hain yek din thhukarayegee
maut mehaboobaa hain apane saath lekar jaayegee
mar ke jeene kee adaa jo duniyaan ko sikhalaayegaa

humane maanaa ye jamaanaa dard kee jaagir hai
har kadam pe aasooonkee yek nayee janjir hai
saaja-ye-gam par jo khushee ke geet gaataa jaayegaa

[youtube]xcu2Dn_zTZA[/youtube]
Kishore Kumar live

Dekh Ke Tumko – Humko Tum Se Ho Gaya

Film: Amar, Akbar, Anthony
Jahr: 1977
Regie: Manmohan Desai
Interpreten: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar, Mohd. Rafi
Komponist: Laxmikant-Pyarelal
Lyrics: Anand Bakshi

ki : dekh ke tumko dil dola hai
god promise ham sach bola hai
o hamko tumse ho gaya hai pyaar kya kare
bolo to jiye bolo to mar jaaye -2
la : o hamko tumse …

ki : kabhi bolu main kabhi bole tu i love you
la : love you
maine tumpe tumne mujh pe kar diya jaadu
i love you
ki : love you
ki : ab tak chhupaaye rakha shola dabaaye rakha
a : ab tak chhupaaye …
ki : raaz ye hamne ab khola hain
god promise ham …
o hamko tumse …
do : hamko tumse …

la : kaise main bolu tere sang main dolu
mu : tere sang jeevan ki dor bandhi hai
main sapnon ka saagar tu prem nadi hai
ab tak chhupaaye …
a : ab tak chhupaaye …
mu : chand-chakori jyo duniya mein
raam kasam tu rahe jiya mein
hamko tumse …
do : bolo to jiye …
hamko tumse …

ra : dil mein dilbar tu rehta hain
khuda gawaah ham sach kehta hain
hamko tumse …

ek to akbar ka salaam usmein shaamil tera naam
do lafzon mein kahta hu mukh se kissa tamaam
main shaayar hu mera hai vaasta haseeno se
teri furqat mein soya nahi mahino se
la : nahi karte ye baatein pardaanasheeno se
sar-e-baazaar chodo chhed mahazabeeno se
ra : ab tak chhupaaye …
a : ab tak chhupaaye …
ra : husn hamesha rootha rahata hai
khuda gavaah ham …

Roop Tera Mastana

Film: Aradhana
Jahr: 1969
Regie: Shakti Samanta
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: S.D. Burman
Lyrics: Anand Bakshi

Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana
Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana

Bhool Koi Hamse Na Hojaye
Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana

Bhool Koi Hamse Na Hojaye
Raat Nasheeli Mast Sama Hai

Aaj Nashe Mein Sara Jahan Hai (2x)
Raat Nasheeli Mast Sama Hai

Aaj Nashe Mein Sara Jahan Hai
Haan Ye Sharabi Mausam Behkaye

Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana
Bhool Koi Hamse Na Hojaye

Ankhon Se Ankhen Milti Hai Aise
Bechain Hoke Toofan Mein Jaise (2x)

Mauj Koi Saahil Se Takraaye
Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana

Bhool Koi Hamse Na Hojaye
Rok Raha Hai Ham Ko Zamana

Door Hi Rehena Paas Na Aana
Rok Raha Hai Ham Ko Zamana

Door Hi Rehena Paas Na Aana
Kaise Magar Koi Dil Ko Samjhaaye

Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana
Bhool Koi Hamse Na Hojaye