Bollyblog

Mera Man Tera Pyaasa (My Mind Is Thirsty For You)

Film: Gambler
Jahr: 1960
Regie: Amarjeet
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: S.D. Burman

Mera Man Tera Pyaasa, Mera Man Tera
Poori Kab Hogi Aasha, Mera Man Tera

Jab Se Maine Dekha Tujhe Mera Dil Nahin Raha, Mera
De De Apna Haath Mere Haathon Mein Kya Jaye, Tera
Ab To Na Todo Aasha, Mera Man Tera…

Zindagi Hai Meri Ek Daanv, Tu Hai Haar Jeet, Meri
Aise Vaise Kaise Bhi Tu Khel Humse Jaisi Marzi, Teri
Kitni Hai Bholi Aasha, Mera Man Tera…

Pata Nahin Kaun Hoon Maein, Kya Hoon Aur Kahan Mujhe, Jaana
Apni Vo Kahaani Jo Anjaani Ho Ke Ban Gayi, Fasaana
Jeevan Kya Hai, Tamaasha, Mera Man Tera…

Badan Pe Sitare

Film: Prince
Jahr: 1969
Regie: Lekh Tandon
Schauspieler: Shammi Kapoor, Helen, Vyjayanthimala
Interpret: Mohd. Rafi

Badan Pe Sitaare Lapate Huye
O jaane tamanna kidhar ja rahi ho
Zara paas aayo, to chain aa jaaye
Zara Paas Aayo to chain aa jaaye

Hameiin Jab na honge to aye dil rubaan
Kise dekh kar haaye sharmaayo gi
Na dekhogi phir tum kabhi aaina
Hamare bina roz ghabraayo gi

Badan Pe Sitaare Lapate Huye …

Hai ban ne sawar ne ka jab hi maza
Koyi dekhne wala aashiq to ho
Nahi to yeh jalwe hain bhujte diye
Koyi mitne wala ek aashiq to ho

Badan Pe Sitaare Lapate huye …

Mohabbat ki yeh intaha ho gayi
Ke Masti mein tumko khuda keh gaya
Zamana yeh insaaf karta raha
Bura keh gaya yah bbhala keh gaya

Badan pe sitaare lapate huye
O jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
Zara paas aayo, to chain aa jaye …

[youtube]0HHQdjkfx-Q[/youtube]
Mohd. Rafi live

Aane Se Uske Aaye Bahar

Film: Jeene Ki Raah
Jahr: 1969
Regie: L.V. Prasad
Schauspieler: Tanuja, Jeetendra
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Laxmikant-Pyarelal
Lyrics: Anand Bakshi

badi mastani hay meri mehbooba
meri zindigani hay meri mehbooba

iss hawa ko mein to us ka lehrata aanchal kahooon ga
iss ghata ko mein to us ki aankhoon ka kajal kahoon ga
kaliyon ka bachpan hay phoolon ki jawani hay meri mehbooba, mehbooba
badi mastani hay meri mehbooba

beet jate hein pal kat jati hein barkha ki raatein
ham na jane kiya kiya karte rehte hein aapas mein batein
mein thoora deewana thoori si deewani hay meri mehbooba
badi mastani hay meri mehbooba

aaa aa aa aa aa a aa
o oo o o ooo o o ooo

saamne mein sab kay naam us ka nahi ley sakoon ga
wo sharam kay marey rooth jaye to mein kiya karoon ga
hooron ki malika hay pariyon ki rani hay meri mehbooba
badi mastani hay meri mehbooba

hmmm hmm hmmm hmmm hmmm
a a a a a a a a aa a
hmmmm hmmm hmm hmm hmm
aa a a a a a a aaa a