Inhi Logon Ne

Film: Pakeezah – The Pure – Die Reine
Jahr: 1972
Regie: Kamal Amrohi
Interpretin: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Ghulam Mohammed

Inhi logon ne, inhi logon ne – 2 x
Inhi logon ne le leena dupatta mera – 4 x

Translation: These people, these people, these people
These people have taken away my scarf

Hamri na maano bajajva se poochho

If you don’t accept that as truth, ask the cloth-merchant

Hamri na maano saiyyaan
Hamri na maano bajajva se poochho
Jis ne Jis ne asharfi gaz deena dupatta mera – 2

who, who for a gold coin gave me a yard of my dupatta
My scarf, my scarf!

O ji ho dupatta mera, o dupatta mera
Aa, hamri na maano rangrajva se poochho
Hamri na maano saiyyaan
Hamri na maano rangrajva se poochho

If you don’t accept that, sir, ask the cloth-dyer

Jis ne, Jis ne gulaabi rang deena dupatta mera – 2 x

who dyed my scarf pink

Inhi logon ne, inhi logon ne, inhi logon ne

These people, these people, these people
these people have taken my scarf

Hamri na maano sipahiya se poochho – 2 x

If you don’t accept that, ask the police constables

Aa aa aa aa, hamri na maano
Hamri na maano sipahiya se poochho
Sipahiya se, sipahiya se poochho
Jis ne, Jis ne bajariya mein chheena dupatta mera – 2 x

who tore it away from me in the bazaar

Inhi logon ne, inhi logon ne, inhi logon ne
Inhi logon ne le leena dupatta mera
Dupatta mera, dupatta mera – 2 x

These people, these people
these people have taken away my scarf

Aaj Hum Apni Duaon Ka

Film: Pakeezah – The Pure – Die Reine
Jahr: 1972
Regie: Kamal Amrohi
Schauspieler: Meena Kumari, Raj Kumar
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Ghulam Mohammed

aaj ham apani duaaon ka asar dekhenge
tir-e-nazar dekhenge, zakhm-e-jigar dekhenge – 2 x

Translation: Today I shall see the effects of my prayers:
I shall see glances like arrows and wounds of the heart – 2 x

aap to aankh milaate hue sharamaate hain,
aap to dil ke dhadakane se bhi dar jaate hain

Meeting my eyes, you are bashful;
you fear even the beating of your heart.

phir bhi ye ziddh hai ke ham zakhm-e-jigar dekhenge,
tir-e-nazar dekhenge, zakhm-e-jigar dekhenge – 2 x

Even so, I’m determined to see the wounds of the heart.
I shall see glances like arrows and wounds of the heart …

pyaar karana dil-e-betaab bura hota hai
sunate aaye hain ke ye khvaab bura hota hai
aaj is kvaab ki taabeer magar dekhenge
tir-e-nazar dekhenge, zakhm-e-jigar dekhenge (2)

It is wrong for the weak of heart to love …
I have come knowing (hearing) that this dream is wrong.
Today if I see the passion of this dream,
I will see glances like arrows and wounds of the heart …

jaanaleva hai muhabbat ka sama aaj ki raat
shama ho jayegi jal jal ke dhuna aaj ki raat
aaj ki raat bachenge to sahar dekhenge – 2 x
tir-e-nazar dekhenge, zakhm-e-jigar dekhenge – 2 x

Tonight, love’s view is deadly.
Tonight, a burning lamp shall become water and smoke
I shall survive tonight, I shall see the dawn …
I shall see glances like arrows and wounds of the heart …

Salaam-E-Ishq

Film: Muqaddar Ka Sikandar
Jahr: 1978
Regie: Praka Mehra
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Anjaan

Salaam-e-ishq meri jaan zara kabool kar lo – 2 x
Tum humse pyaar karne ki zara si bhool kar lo
mera dil bechain hai
mera dil bechain hai humsafar ke liye – 2 x
Salaam-e-ishq meri jaan …

Main sunaoon tumhe baat ik raat ki – 2 x
Chand bhi apni puri jawani mein tha
Dil mein tufaan tha
Ek Armaan tha
Dil ka tufaan apni rawani mein tha
Ek badal …
Ek badal udhar se chala jhoom ke
Dekhte dekhte chand pe chha gaya
Chand bhi kho gaya uske aaghosh mein
Uff, yeh kya ho gaya josh hi josh mein
Mera dil tadpa
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan …

Iske aage ki ab dastaan mujhse sun – 2 x
Sun ke teri nazar dabdaba jayagi
Baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi,
Mera dawa hai hoton pe aa jayegi

Tu masiha …
Tu masiha mohabbat ke maron ka hai – 2 x
Hum tera naam sun kar chale aaye hain
Ab dua de hamein ya tu de de zeher
Teri mehfil mein ye dil jale aaye hain
Ek ehsaan kar …
Ehsaan kar
Ek ehsaan kar, apne mehmaan par
Apne mehmaan par ek ehsaan kar
De Duaein
De Duaein use umra bhar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan …