Film: Chori Chori
Jahr: 1956
Regie: Anant Thakur
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpreten: Lata Mangeshkar, Manna Dey
Komponist: Shankar-Jaikishen
Manna Dey: (Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara) – 2 x
Lata Mangeshkar: (Aah, aah)
Kyoon aag si lagaake gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara
Manna Dey: Ithlaati hawa, neelam sa gagan
Kaliyon pe yeh behoshi ki nami
Aise mein bhi kyoon bechain hai dil
Jeevan mein na jaane kya hai kami
Lata Mangeshkar: Kyoon aag si lagaake gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara
Manna Dey: Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara
Lata Mangeshkar: Jo din ke ujaale ne na mila
Dil dhoonde aise sapne ko
Is raat ki jagmag mein doobi
Main dhoond rahi hoon apne ko
Manna Dey: Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara
Lata Mangeshkar: Kyoon aag si lagaake gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara
Manna Dey: Aise mein kahin kya koi nahin
Bhoole se jo humko yaad kare
Lata Mangeshkar: Ek halki si muskaan pe jo
Sapnon ka jahan aabaad kare
Manna Dey: Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chand pyaara pyaara
Lata Mangeshkar: Kyoon aag si lagaake gumsum hai chandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara
Lata Mangeshkar & Manna Dey: Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein