Uthaye Ja Unke Sitam – Nargis Speaks

Film: Andaz
Jahr: 1949
Regie: Mehboob Khan
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Majrooh Sultanpuri

uthhaaye jaa unke sitam aur jiye jaa
Translation: go on bearing the atrocities of his unfeeling attitude and continue your existance

yu hi muskuraaye jaa aansoo piye jaa – 2
keep on smiling like you always do, swallowing your tears.

uthhaaye jaa unke sitam
go on bearing the atrocities of his unfeeling attitude

yahi hai mohabbat ka dastoor eh dil, dastoor eh dil
this is the dictum of love, oh heart, the dictum of love my heart

woh gham de tujhe tu duwaayein diye jaa
he gives you the anguish of suffering, and you go on praying for him to be blessed

uthhaaye jaa unke sitam
go on bearing the atrocities of his unfeeling attitude

kabhi woh nazar jo samaayi thi dil mein, samaayi thi dil men
that one glance of his which has made home in your heart, made home in your heart

ussi ek nazar ka sahaara liye jaa
go on sustaning yourself on that one glance of his

uthhaaye jaa unke sitam
go on bearing the atrocities of his unfeeling attitude

sataaye zamaana ya sitam dhhaaye duniya, sitam dhhaaye duniya
even if the society troubles you or the world bears down atrocties on you, the world bears down atrocties on you

magar tu usiki tamanna kiye jaa
you go on longing for him

uthhaaye jaa unke sitam
go on bearing the atrocities of his unfeeling attitude

Deewane Ka Naam Tho

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor, Sharmila Tagore
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, arre chaahe phir na milna – 2 x

gussa chhodo baat to maano
iss bande ko apna jaano
door se dhokha haan, ho sakta tha haan
door se dhokha ho sakta tha
paas ho ab to ab pehchaano

deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, arre chaahe phir na milna

hat gaya aakhir bharam ka saaya
ab samjha main ab yaad aaya
khwaab mein tum ko aksar dekha – 2 x
aaj mujjasim saamne mein paya

deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, aji chaahe phir na milna

yeh paris ki shaam suhaani
yaar ki nagri roop ki raani
banke rahega haan koyi afsana haan
banke rahega koyi afsana
khil ke rahegi koyi kahaani

deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, aji chaahe phir na milna

aaa aaa aaa aaa aaa aaa

Evening in Paris – Aji Aisa Mauka Phir Kahan Milega

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

Aji Aisa Mauka Phir Kahan Milega
Hamare Jaisa Dil Kahan Milega
Aao Tumko Dikhlata Hoon Paris Ki Ek Rangeen Sham
Dekho Dekho Dekho Dekho Dekho
An Evening In Paris

Dekho Ye Pariyon Ki Toli
Meethi Meethi Jinki Boli
Kya Kya Dil Par Rang Jamaye
Jalwon Ki Yeh Aankh Micholi
Aji Aisa …

Haathon Mein Haath Daaley
Phirte Hain Aashiq Niraley
Dhoondo Yahan Tum Bhi Saathi
Mil Jaaenge Husnwale
Aji Aisa …

Apne Dil Ka Daaman Bhar Lo
Mar Jaaoge Pyaar Karlo
Kal Ka Sapna Kisne Dekha
In Rahon Se Aaj Guzarlo
Aji Aisa …