Tum Ne Mujhe Dekha

Film: Teesri Manzil
Jahr: 1966
Regie: Vijay Anand
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: R.D. Burman
Lyrics: Majrooh Sultanpuri

tum ne muze dekhaa, ho kar meharabaan
ruk gayee ye jameen, tham gayaa aasamaan
jaana-ye-man jaana-ye-jaan

kahee dard kee seharaa me, rukate chalate hote
in hothhon kee hasarat me, tapate jalate hote
meharabaan ho gayee, julf kee badaliyaan
jaana-ye-man jaana-ye-jaan

lekar ye haseen jalawe, tum bhee naa kahaa pahuche
aakhir ko mere dil tak, kadamon ke nishaan pahuche
khatm se ho gaye, raaste sab yahaa
jaana-ye-man jaana-ye-jaan

Baharon Phool Barsaao

Film: Suraj
Jahr: 1966
Regie: T. Prakash Rao
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen

Live-Performance von Mohd. Rafi

Hm hm hm, mm mm
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai – 2 x
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
O laali phool ki mehndi laga in gore haathon mein – 2 x
Utar aa ae ghata kaajal laga in pyaari aankhon mein
Sitaaron maang bhar jaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Nazaaron har taraf ab taan do ek noor ki chaadar – 2 x
Bada sharmila dilbar hai, chala jaaye na sharmaakar
Zara tum dil ko behlaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehbooba aaya hai

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Sajaayi hai jawaan kaliyon ne ab yeh sej ulfat ki – 2 x
Inhe maaloom tha aayegi ek din ruth mohabbat ki
Fizaaon rang bikhraao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai

Rahega Ishq Tera Kaak

Film: Teesri Kasam (The Third Oath, The Third Vow)
Jahr: 1966
Regie: Basu Bhattacharya
Schauspieler: Waheeda Rehman, Raj Kapoor
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

rahega ishq tera kaak mein milake mujhe
hue hain ibteda mein ranj inteha ke mujhe

aa, aa bhi ja
raat dhalne lagi, ho, chand chhupane chala
ho aa, aa bhi ja

teri yaad mein bekabar, shama ki tarah raat bhar – 2 x
jali aarzu dil jalaa, aa, aa bhi ja

sitaaron ne munh pherkar kaha alvida hamsafar – 2 x
chala kaarvaan ab chalaa, aa, aa bhi ja

ufak par khadi hai sahar, andhera hai dil mein idhar – 2 x
wahi roz ka silsilaa, aa, aa bhi ja

raat dhalne lagi, chand chhupane chala
ho aa, aa bhi ja