Aane Se Uske Aaye Bahar

Film: Jeene Ki Raah
Jahr: 1969
Regie: L.V. Prasad
Schauspieler: Tanuja, Jeetendra
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Laxmikant-Pyarelal
Lyrics: Anand Bakshi

badi mastani hay meri mehbooba
meri zindigani hay meri mehbooba

iss hawa ko mein to us ka lehrata aanchal kahooon ga
iss ghata ko mein to us ki aankhoon ka kajal kahoon ga
kaliyon ka bachpan hay phoolon ki jawani hay meri mehbooba, mehbooba
badi mastani hay meri mehbooba

beet jate hein pal kat jati hein barkha ki raatein
ham na jane kiya kiya karte rehte hein aapas mein batein
mein thoora deewana thoori si deewani hay meri mehbooba
badi mastani hay meri mehbooba

aaa aa aa aa aa a aa
o oo o o ooo o o ooo

saamne mein sab kay naam us ka nahi ley sakoon ga
wo sharam kay marey rooth jaye to mein kiya karoon ga
hooron ki malika hay pariyon ki rani hay meri mehbooba
badi mastani hay meri mehbooba

hmmm hmm hmmm hmmm hmmm
a a a a a a a a aa a
hmmmm hmmm hmm hmm hmm
aa a a a a a a aaa a

Chalkaaye Jaam Aayi Yeh

Film: Mere Hamdam Mere Dost
Jahr: 1968
Regie: Amar Kumar
Schauspieler: Dharmendra, Sharmila Tagore
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Laxmikant-Pyarelal
Lyrics: Majrooh Sultanpuri

Chhalakaye jaam aaeeye aap kee aankhon ke naam hothhon ke naam

phool jaise tan pe jalawe ye rang-o-boo ke
aaj jaam-e-may uthe in hothhon ko chhoo ke
lachakaeeye shaakh-e-badan mahakaeeye zulfon kee shaam
chhalakaye jaam aaeeye aap kee aankhon ke naam

aap hee kaa naam lekar pee hai sabhee ne
aap par dhadak rahe hai, pyaalon ke seene
yahaan ajanabee koee nahee, ye hai aap kee mahafil tamaam
chhalakaye jaam aaeeye aap kee aankhon ke naam

kaun har kisee kee baahen baahon mein daal le
jo nazar nashaa pilaaye, wo hee sanbhaal le
duniyaa ko ho aauron kee dhoon hum ko to hain saakee se kaam

chhalakaye jaam aaeeye aap kee aankhon ke naam

Baharon Phool Barsaao

Film: Suraj
Jahr: 1966
Regie: T. Prakash Rao
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen

Live-Performance von Mohd. Rafi

Hm hm hm, mm mm
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai – 2 x
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
O laali phool ki mehndi laga in gore haathon mein – 2 x
Utar aa ae ghata kaajal laga in pyaari aankhon mein
Sitaaron maang bhar jaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Nazaaron har taraf ab taan do ek noor ki chaadar – 2 x
Bada sharmila dilbar hai, chala jaaye na sharmaakar
Zara tum dil ko behlaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehbooba aaya hai

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Sajaayi hai jawaan kaliyon ne ab yeh sej ulfat ki – 2 x
Inhe maaloom tha aayegi ek din ruth mohabbat ki
Fizaaon rang bikhraao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai