Deewane Ka Naam Tho

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor, Sharmila Tagore
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, arre chaahe phir na milna – 2 x

gussa chhodo baat to maano
iss bande ko apna jaano
door se dhokha haan, ho sakta tha haan
door se dhokha ho sakta tha
paas ho ab to ab pehchaano

deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, arre chaahe phir na milna

hat gaya aakhir bharam ka saaya
ab samjha main ab yaad aaya
khwaab mein tum ko aksar dekha – 2 x
aaj mujjasim saamne mein paya

deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, aji chaahe phir na milna

yeh paris ki shaam suhaani
yaar ki nagri roop ki raani
banke rahega haan koyi afsana haan
banke rahega koyi afsana
khil ke rahegi koyi kahaani

deewane ka naam to poochho, pyaar se dekho kaam to poochho
chaahe phir na milna, aji chaahe phir na milna

aaa aaa aaa aaa aaa aaa

Roop Tera Mastana

Film: Aradhana
Jahr: 1969
Regie: Shakti Samanta
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: S.D. Burman
Lyrics: Anand Bakshi

Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana
Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana

Bhool Koi Hamse Na Hojaye
Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana

Bhool Koi Hamse Na Hojaye
Raat Nasheeli Mast Sama Hai

Aaj Nashe Mein Sara Jahan Hai (2x)
Raat Nasheeli Mast Sama Hai

Aaj Nashe Mein Sara Jahan Hai
Haan Ye Sharabi Mausam Behkaye

Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana
Bhool Koi Hamse Na Hojaye

Ankhon Se Ankhen Milti Hai Aise
Bechain Hoke Toofan Mein Jaise (2x)

Mauj Koi Saahil Se Takraaye
Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana

Bhool Koi Hamse Na Hojaye
Rok Raha Hai Ham Ko Zamana

Door Hi Rehena Paas Na Aana
Rok Raha Hai Ham Ko Zamana

Door Hi Rehena Paas Na Aana
Kaise Magar Koi Dil Ko Samjhaaye

Roop Tera Mastana Pyaar Mera deewana
Bhool Koi Hamse Na Hojaye

Arre Deewano Mujeh … Mein Hoon Don

Film: Don
Jahr: 1978
Regie: Chandra Barot
Schauspieler: Amitabh Bachchan
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics:

Are Deewano, Mujeh Pehechano,
Kahan Se Aaya, Mein Hoon Don,
Mein Hoon don, Mein Hoon Don,
Mein Hoon Don, Mein Hoon Mein
Hoon Mein Hoon Don?

Don Don Don Don Don
Mein Hoon Don, Mein Hoon Don,
Mein Hoon Mein Hoon Mein Hoon Don …

Are Tumne Jo, Dekha Hai, Socha Hai,
Samjha Hai, Jaana Hai
Voh Mein Nahin.. Voh Mein Nahin …
Logon Ki, Nazron Ne,
Mujhko Yahan Jo Bhi Maana Hai,

Voh Mein Nahin … Voh Mein Nahin …
Awaara Badal Ko Saudaayi Paagal Ko,
Duniya Mein Samjha Hai Kaun,

Are Deewano Mujeh Pehechano,
Zara Pehechano, Mein Hoon Don …

Are Yaaron Ka, Jo Yaar Hoon,
Yaari Mein Yeh Jaan Luta De Tho,
Mein Hoon Vohi, Mein Hoon Vohi …
Dushman Kaa Dushman Hun Voh,
Dushman Ke Chakke Chuda De Jo,
Mein Hoon Vohi, Mein Hoon Vohi …
Tum Jaano, Na Jaano, Maine Tho Jaana Hai,
Mahefil Mein Kaisa Hai Kaun,

Are Deewano Mujeh Pehechano, Zara Pehechano,
Mein Hoon Don …

Are Maine Kya, Socha Hai,
Kya Khaab Hai
Meri Aankhon Mein,
Tum Jaano Naa, Tum Jaano Naa,
Maine Bhi Badla Hai,
Kya Rang Baaton Hi Baaton Mein,

Tum Jaano Naa, Tum Jaano Naa,
Chehere Pe Chehera Hai, Parde Pe Parda Hai,
Duniya Mein Samjha Hai Kaun,

Are Deewano, Mujeh Pehechano,
Zara Pehechano,

Mein Hoon Don,
Mein Hoon Don, Mein Hoon Don …