Ee Hai Bambai Nagariya Tu Dekh Babua (This is Bombay)

Film: Don
Jahr: 1978
Regie: Chandra Barot
Schauspieler: Amitabh Bachchan
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: Kalyanji-Anandji

Lyrics:
ee hai bombay nagaria, tu dekh babuwa – 2 x
sone chaandi ki dagariya, tu dekh babuwa
raghu sone ki bajariya mein, maya ki nagariya mein
jhatpat dekh le muqaddar ka lekh babuwa
ee hai bombay nagaria, tu dekh babuwa – 2 x

dekho door door se
dekho door door se log toor toor se
ee haan aate hain kaao lagaane – 2 x
des gaaon chor ke, preet pyaar tor ke
khoya khoya naseeba jagaane – 2 x
aray apna kya hoga
aray apna kya hoga, hoga so hoga
paansa ham ne diya hai phenk babuwa
ee hai bombay nagaria, tu dekh babuwa
ee hai… ee hai…
ee hai bombay nagaria, tu dekh babuwa

koi maala maal hai
koi maala maal hai, koi tang haal hai
zindagi hai ee haan ki niraali – 2 x
maal kitna bhara, phir bhi dekho zara
ee haan har aadmi hai sawaali – 2 x
bigri bana le…
bigri bana le, tu cash karwa le
apne muqaddar ka lekh babuwa
ee hai bombay nagaria, tu dekh babuwa
ee hai… ee hai…
ee hai bombay nagaria, tu dekh babuwa

yeh shehron mein sheher hai bumbai wah (aray wah wah bambai wah)
yeh baat sabhi hai ulti hai phir bhi wah re bambai wah re wah re bumbai wah
bin paani ka dhobi talaaow dekho, dekho
ee haan reti pe paani kaa bhaaow dekho
ghoron pe karoron ka daaow dekho
haseenon se sabhi ka lagaaow dekho
koi bandar nahi hai, phir bhi naam baandra
church ka gate hai, churche hai lapata
churche hai lapata – 2 x
ajab hai yeh rang, anokha hai dhang
naii hai tarang, naii hai umang
koi kanjoos hai, koi hai malang
machi hai yahaan dekho aapas mein jang
aapas mein jang – 2 x
samandar mein jese hai ghul gai bhang
yeh rang dekh ke main hogaya dang
to kya samjhe?
ee hai bombay nagaria, tu dekh babuwa – 2 x

Translation:
Glory to Lord Krishna
Glory to Lord Rama
This is … Made out of gold and silver

In this city of gold and silver
in this city of magic fortunes swing
This is Bombay, my boy

From afar come they all, to try their luck
They leave their villages;

they leave their kin…
to come here to make their destiny
What will happen of me? I don’t care
l have just begun to roll the dice
This is Bombay, my boy
Some of them are rich;

others are paupers Life here is strange.
They’ve made so much money …
Yet every man prays for more. Yet they pray for more.
Change your fortune for the better.
Change your fortunes for the better.

Encash this check of your destiny
This is Bombay, my boy
This city is unique among all other cities
Everything here is so topsy-turvy;
And yet, Bombay wows everyone
Check out the launderer’s lake … which has no water

Look at what water costs.
Look at the way they stake millions on horse-racing.
Look how fond they all are of girls beautiful
There isn’t a bunder (monkey) in sight,

yet the place is Bandra. With only a gate there …
the church is missing at Churchgate. The church is missing …
Strange are the ways here; strange are many hues.
Unique are the desires;

distinctive is the ethos
If some are tight-fisted … others are carefree
They’re at war here all the time
They’re warring here all the time
Like opiate in the seas …
I’m dumb-struck at what this city does to me.
Do you get it then?

This is Bombay, my boy …

Badan Pe Sitare

Film: Prince
Jahr: 1969
Regie: Lekh Tandon
Schauspieler: Shammi Kapoor, Helen, Vyjayanthimala
Interpret: Mohd. Rafi

Badan Pe Sitaare Lapate Huye
O jaane tamanna kidhar ja rahi ho
Zara paas aayo, to chain aa jaaye
Zara Paas Aayo to chain aa jaaye

Hameiin Jab na honge to aye dil rubaan
Kise dekh kar haaye sharmaayo gi
Na dekhogi phir tum kabhi aaina
Hamare bina roz ghabraayo gi

Badan Pe Sitaare Lapate Huye …

Hai ban ne sawar ne ka jab hi maza
Koyi dekhne wala aashiq to ho
Nahi to yeh jalwe hain bhujte diye
Koyi mitne wala ek aashiq to ho

Badan Pe Sitaare Lapate huye …

Mohabbat ki yeh intaha ho gayi
Ke Masti mein tumko khuda keh gaya
Zamana yeh insaaf karta raha
Bura keh gaya yah bbhala keh gaya

Badan pe sitaare lapate huye
O jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
Zara paas aayo, to chain aa jaye …

[youtube]0HHQdjkfx-Q[/youtube]
Mohd. Rafi live

Chhodo Kal Ki Baatein

Film: Hum Hindustani
Jahr: 1960
Regie: Ram Mukherji
Interpret: Mukesh
Komponist: Usha Khanna
Lyrics: K.M. Manohar

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani

Hum hindustani, hum hindustani – 2 x
Aaj puraani zanjeeron ko tod chuke hain
Kya dekhe us manzil ko jo chhod chuke hain
Chand ke dar pe jaa pahuncha hai aaj zamaana
Naye jagat se hum bhi naata jod chuke hain
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani

Hum hindustani – 2 x
Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani

Hum hindustani, hum hindustani – 2 x
Aao mehnat ko apna imaan banaaye
Apne haathon ko apna bhagwaan banaaye
Ram ki is dharti ko gautam ki bhoomi ko
Sapnon se bhi pyaara hindustan banaaye
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani

Hum hindustani – 2 x
Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani
Hum hindustani, hum hindustani – 2

Har zarra hai moti, aankh uthaakar dekho
Maati mein sona hai, haath badhaakar dekho
Sone ki yeh ganga hai, chandi ki yamuna
Chaaho to patthar pe dhaan ugaakar dekho
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani

Hum hindustani, hum hindustani – 2 x
Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani

Hum hindustani, hum hindustani – 2 x