Jab Pyaar Kisi Se Hota Hai (When You Love Someone)

Film: Jab Pyaar Kisi Se Hota Hai (When Someone’s In Love)
Jahr: 1961
Regie: Nasir Hussain
Schauspieler: Asha Parekh, Dev Anand
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen

ho ho!! aah haa …
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil kaa pardaa khol do – 2
aah haa aa ….
jab pyaar kisi se hota hai
to dard saa dil mein hota hai
tum ek haseen ho laakhon mein
bhalaa paake tumhe koi khota hai
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do

nazaron se kitne teer chale
chalne do jigar par jhelenge
in pyaar ki ujali raahon par
ham jaan ki baazi khelenge
in do nainon ke saagar mein
koi dil ki naiyaa dubota hai
o jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil ka parda khol do …

tum bhi to is aag mein jalte ho
chehare se bayaan ho jata hain
har baat pe aahe bharte ho
har baat pe dil tharraataa hai
jab dil pe chhuriyaan chalati hain
to chain se koi sotaa hai
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil kaa pardaa khol do

C.A.T… Cat Mane Billi (C.A.T… Cat, That Is, Cat)

Film: Dilli Ka Thug – Delhi Thug
Jahr: 1958
Regie: S.D. Narang
Interpreten: Asha Bhosle, Kishore Kumar
Komponist: Ravi
Lyrics: Shailendra

C.A.T. Cat, Cat maane billi, R.A.T. Rat, Rat maane choohaa
arrey dil hai tere panje mein to kyaa huaa
M.A.D. Mad, Mad maane paagal, B.O.Y. Boy, Boy maane laDkaa
arrey matlab iskaa tum kaho to kyaa huaa) -2

aaa aaa aaa aa -2

ari baaNvri tu ban jaa meri, zaraa sun main kyaa kahtaa hooN
aa: zaraa dekh idhar tujhe hai Khabar, tu hai kaun aur main kyaa hooN -2
G.O.A.T. Goat, Goat maane bakri, L.I.O.N. Lion, Lion maane sher
arrey dil hai tere panje mein to kyaa huaa
M.A.D. Mad, Mad maane paagal, B.O.Y. Boy, Boy maane laDkaa
arrey matlab iskaa tum kaho to kyaa huaa

lage taakne kabhi aapne, sheeshaa leke mooNh dekhaa bhi
tumhi ik nahin jahaaN mein hasiN, na hogaa koi ham saa bhi -2
N.O.S.E. Nose, Nose maane naak, C.R.O.W. Crow, Crow maane kauvaa
arrey matlab iskaa tum kaho to kyaa huaa
huN huNhuN, C.A.T. Cat, Cat maane billi, R.A.T. Rat, Rat maane choohaa
arrey dil hai tere panje mein to kyaa huaa

aaa aaa aaa aa -2

milaa le nazar o jaan-e-jigar, teraa kyaa karegi duniyaa
jahaaN se Daro ye sochaa karo, hamen kyaa kahegi duniyaa
arrey milaa le nazar o jaan-e-jigar, teraa kyaa karegi duniyaa
jahaaN se Daro ye sochaa karo, hamen kyaa kahegi duniyaa
B.A.D. Bad, Bad maane buraa, B.U.T. But, But maane lekin
arrey dil hai tere panje mein to kyaa huaa
M.A.D. Mad, Mad maane paagal, B.O.Y. Boy, Boy maane laDkaa
arrey matlab iskaa tum kaho to kyaa huaa

Ina Meena Dika

Film: Aasha – Hope
Jahr: 1957
Regie: M.V. Raman
Interpret: Asha Bhosle
Komponist: C. Ramchandra
Lyrics: Rajendra Krishan

Ina Meena Dika, Daai, Daamo Nika
Maaka Naaka Naaka, Chika Pika Rika
Ina Meena Dika Dika De Daai Daamo Nika
Maaka Naaka Maaka Naaka Chika Pika Rola Rika
Rumpum Posh Rumpum Posh

Dil De Doon, Hai Koi Lene Wala
Aise Vaise Ko Nahin Dene Wala
Suratiyaan Hasin Ho, Umariyan Jawan Ho
Koi Bhi Use Dekhe To Bas Ye Gumaan Ho
Yahi Hai Yahi Hai Yahi To Hai Vo

Refrain

Ye Sharten To Badi Hai Zaroori
Jo Koi Karega Inhen Poori
Main Khushi Khushi Use Ye Dil De Doonga
Kasam Khaa Raha Hoon, Ki Daam Bhi Na Loonga
Magar Ye Kahoonga, Magar Ye Kahoonga, Kya?
Yahi Hai Yahi Hai Yahi To Hai Vo

Refrain

Mat Socho Ki Sasta Hai Sauda
Phal Paaye Lagayega Jo Paudha
Dil Ki Ye Yaari Banegi Phulvaari
Ye Duniya Jalegi, Jalan Ki Hai Maari
Hansegi Hansegi Hansegi Meri Pyaari

Refrain