Duniya Bananewale

Film: Teesri Kasam (The Third Oath, The Third Vow)
Jahr: 1966
Regie: Basu Bhattacharya
Schauspieler: Raj Kapoor, Waheeda Rehman
Interpret: Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

Translation / Ãœbersetzung im Untertitel (englisch)
Duniya Bananewale Kya Tere Man Mein Samaayi
Kaaheko Duniya Banayi
Toone Kaaheko Duniya Banayi

Kahe Banaye Toone Maati Ke Putle
Dharti Yeh Pyaari Pyaari
Mukhde Yeh Ujle
Kahe Banaya Toone Duniya Ka Khela
Usme Lagaya Jawaani Ka Mela
Gup-Chup Tamasha Dekhe, Wah Re Teri Khudaai
Kahe Ko Duniya…

Preet Banaake Toone Jeena Sikhaaya
Hansna Sikhaaya, Rona Sikhaaya
Jeevan Ke Path Par Meet Milaye
Meet Milake Toone Sapne Sajaaye
Sapne Sajaake Toone Kahe Ko De Di Judaai

Chand Si Mehbooba

Film: Himalaya Ki God Mein (In the Lap of the Himalayas)
Jahr: 1965
Regie: Vijay Bhatt
Interpret: Mukesh
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Indeevar

Chand si mehbooba ho meri, kab aaisa maine socha tha
Haan tum bilkool waisi ho, jaisa maine socha tha
Chand si mehbooba ho meri, kab aaisa maine socha tha
Haan tum bilkool waisi ho, jaisa maine socha tha

Na kasmey hain na rasmey hain, na shikwe hain na wadey hain
Na kasmey hain na rasmey hain, na shikwe hain na wadey hain
Ek surat bholi bhaali hai, do naina seedhe saade hain
Do naina seedhe saade hain
Aaisa hi roop khayalon mein tha, aaisa maine socha tha
Haan tum bilkool waisi ho, jaisa maine socha tha

Meri khushiyan hi na baate, mere gam bhi sehna chahe
Meri khushiyan hi na baate, mere gam bhi sehna chahe
Dekhe na khwab woh mehlon ke, mere dil mein rehna chahe
Mere dil mein rehna chahe
Is duniya mein kaun tha aaisa, jaisa maine socha tha
Haan tum bilkool waisi ho, jaisa maine socha tha
Chand si mehbooba ho meri, kab aaisa maine socha tha
Haan tum bilkool waisi ho, jaisa maine socha tha
Haan tum bilkool waisi ho, jaisa maine socha tha

Gaata Rahe Mera Dil

Film: Guide (Survival)
Jahr: 1965
Regie: Vijay Anand, Tad Danielewski
Interpreten: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Komponist: S.D. Burman
Gaata rahe mera dil, tuhi meri manzil
kahin beete na yeh raaten kahin beete na yeh din
Gaata rahe …

pyaar karne waale, are pyaar hi karenge
jalne waale chaahe jal jal marenge
pyaar karne waale, are pyaar hi karenge
jalne waale chaahe jal jal marenge
dil se jo dhadke hai woh, dil hardam yeh kahenge
kahin beete na ..

o mere hamrahi, meri baahon thame chalna
badle duniya saari tum na badalna
pyaar humne yeh sikhaladega, gardhish men sambhalna
kahin beete na …

dooriyan ab kaisi, are shaam jaa rahi hai
humko dalthe dalthe samaja rahi hai
aati jaati saans jaane, kab se gaa rahi hai,
kahin beete na …