Pyaar Kiya To Darna

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Insaan kisee se duniyaan me
Yek baar mohabbat karataa hai
Is dard ko lekar jiitaa hai
Is dard ko lekar marataa hai

Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Pyaar kiyaa koi chori nahin ki
Pyaar kiyaa
Pyaar kiyaa koi chori nahin ki
Chhuup chhuup aahe bharnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Aaj kahenge dil kaa fasaanaa
Jaan bhee le le chaahe zamaanaa
Aaj kahenge dil kaa fasaanaa
Jaan bhee le le chaahe zamaanaa
Maut wahii jo duniyaan dekhe
Maut wahii jo duniyaan dekhe
Ghunt ghunt kar yu marnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Unki tamannaa dil mein rahegii
Shammaa ise mahafil mein rahegii
Unki tamannaa dil mein rahegi
Shammaa ise mahafil mein rahegi
Ishq mein jiinaa ishq mein marnaa
Ishq mein jiinaa ishq mein marnaa
Aaur humei ab karnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Chhuup naa sakegaa ishq hamaaraa
Chaaro taraf hain unkaa nazaaraa

Aaaaaaaaaaaaaahaaaaaaaaaaaaaaa
Chhuup naa sakegaa ishq hamaaraa
Chaaro taraf hain unkaa nazaaraa

Pardaa nahin jab koi khudaa se
Pardaa nahin jab koi khudaa se
Bando se pardaa karnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Pyaar kiyaa koi chori nahin ki
Chhuup chhuup aahe bharnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Goro Ki Na Kalo Ki

Film: Disco Dancer
Jahr: 1982
Regie: Babbar Subhash
Interpret: Suresh Wadekar
Komponist: Bappi Lahiri
Lyrics: Anjaan-Faruk Kaiser

kya tera, kya mera, bhoola de mere yaar
ga beta ga

goro ki na kalo ki duniya hain dilwalo ki – 2 x
haske jiye haske mare hum jaise dilwalo ki
ho goro ki na kalo ki duniya hain dilwalo ki

na sona na chandi, geeto se humko pyaar – 2 x
goro ki na kalo ki duniya hain dilwalo ki
haske jiye haske mare hum jaise dilwalo ki
ho goro ki na kalo ki duniya hain dilwalo ki

In Ankhon Ki Masti Ke

Film: Umrao Jaan
Jahr: 1981
Regie: Muzaffar Ali
Interpret: Asha Bhosle
Komponist: Khayyam
Lyrics: Shahryar

Asha Bhosle live im BBC Studio, Birmingham, England (1985)
In ankhon ki masti ke, aah aah aah aah
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In ankhon se vaabasta
In ankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke
Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewane hazaaron hain
Deewane hazaaron hain

In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke, aah aah aah
Ek sirf humi mai ko, ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko ankhon se pilaate hain
Ankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain

In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke
Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke