Pag Ghungroo Bandh

Film: Namak Halal
Jahr: 1982
Regie: Prakash Mehra
Schauspieler: Amitabh Bachchan
Interpret: Kishore Kumar
Komponist: Bappi Lahiri
Lyrics: Anjaan

Buzurgon Ne, Buzurgon Ne, Farmaya Ki Pairon Pe Apne Khade Hoke Dikhlaao
Phir Yeh Zamaana Tumhaara Hai
Zamaane Ke Sur Taal Ke Saath Chalte Chale Jaao
Phir Har Taraana Tumhaara Fasaana Tumhaara Hai
Arey To Lo Bhaiya Hum
Apne Pairon Ke Oopar Khade Ho Gaye
Aur Milali Hai Taal
Dabaalega Daaton Tale Ungliyan,Liyan
Yeh Jahan Dekhkar, Dekhkar Apni Chaal
Wah Wah Wah Wah
Dhanvad

Ki Pag Ghungroo
Ki Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi – 2 X
Aur Hum naachen Bin Ghungroo Ke
Ki Pag Ghungroo Baandh Meera Naachi Thi
Woh Teer Bhalaa, Kis Kaam Ka Hai
Jo Teer Nishaaane Se Chooke Chooke Chooke Re!
Ki Pag Ghungroo

Aap Andar Se Kuch Aur
Bahar Se Kuch Aur Nazar Aate Hain
Bakhuda Shakal Se To Chor Nazar Aate Hain
Umar Guzari Hai Saari Chori Mein
Saare Sukh Chain Band Jurm Ki Tijori Mein

(Aap Ka To Lagta Hai Bas Yahi Sapna
Ram Naam Japna Paraya Maal Apna) – 2 X
Watan Ka Khaaya Namak To Namak Halaal Bano
Farz Imaan Ki Zinda Yahaan Misaal Bano
Paraya Dhan Parayi Naar Pe Nazar Mat Dalo
Buri Aadat Hai Yeh Aadat Abhi Badal Dalo
Kyonke Yeh Aadat To Woh Aag Hai Jo
Ik Din Apna Ghar Phoonke Phoonke Phoonke Re!
Ki Pag Ghungroo

Mausam-E-Ishq Mein Machale Huwe Armaan Hain Hum
Dil Ko Lagta Hai Ke Do Jism Ek Jaan Hai Hum
Aisa Lagta Hai To Lagne Mein Kuchh Buraayi Nahin
Dil Yeh Kehta Hai Aap Apni Hain Paraayi Nahin
Sange Marmar Ki Hai, Koi Moorat Ho Tum
Badhi Dilkash Badhi, Khubsoorat Ho Tum
Dil Dil Se Milne Ka Koi Mahoorat Ho Pyaase Dilon Ki Zaroorat Ho Tum
Dil Cheer Ke Dikhladoon Maein Dil Mein Yahin Soorat Haseen
Kya Aapko Lagta Nahin Hum Hain Mile Pehle Kahin
Kya Desh Hai Kya Jaat Hai
Kya Umra Hai Kya Naam Hai
Aji Chhodhiye In Baaton Se Humko Bhala Kya Kaam Hai
Aji Suniye To
Hum Aap Milen To Phir Ho Shuroo Afsaane Laila Majnoo Laila Majnu Ke
Ki Pag Ghungroo

Naag Devta

Film: Shalimar
Jahr: 1978
Regie: Krishna Shah
Interpret: Mohd. Rafi & Chorus
Komponist: R.D. Burman
Lyrics: Anand Bakshi

Jaag Devtaa Naag Devtaa, Jaanam Diyaa Jinko Tumnein, Jaag Devtaa Naag Devtaa
Jaanam Diyaa Jinko Tumnein Kyun Dass Liyaa Unko Naag Devtaa
Jaag Devtaa Jaag Devtaa Jaanam Diyaa Jinko Tumnein…

Dene Waale Ko Waapas Lene Kaa Keyaa Haq Hain -2
Waapas Lene Waale Ko Dene Kaa Keyaa Haq Hain -2
Baras Rahaa Hain Aankh Se Paan ii Lagii Hain Dil Mein Aag Devtaa, Jaag Devtaa Jaag Devtaa

Paagal Chhaatii Piit Ke Ro Ke Maatam Karte Hain, Dubaaraa Kab Zindaaa Hote Hain Jo Maarte Hain
Bujhe Houe Deepak Na Jale To Kaisaa Deepak Raag Devtaa
Jaag Devtaa Jaag Devtaa -2

Beqaar Hain Ronaa Insaanon Himmat Se Kaam Lo Deewaanon
Jo Patthar Hain Kab Khiltaa Hain Insaaf Kabhii Youn Miltaa Hain
Keyaa Rakhaa Hain Inn Baaton Mein Taqdiir Hain Aapne Haathon Mein
Ab Tod Do Jhuthii Rasmon Ko Sab Baaton Ko Sab Qasmon Ko
Woh Cheeck Nahin Thii Naaraa Thaa Tumko Bhagwaan Pukaara Thaa

Iss Waqt Agar Darr Jaaoge Woh Maar Gayaa Tum Maar Jaaoge
DekhoN Uthon Bhaago-Daudo Zanjeer Gulaamii Kii Todon -4
Jhingaa lalaam hur hur

Dam Bhar Jo Udhar Munh Phere

Film: Awaara – The Vagabond – Der Vagabund von Bombay
Jahr: 1951
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra
Mit Ãœbersetzung / Translation (englische Untertitel im Video)

–FEMALE–
Dam Bhar Jo Udhar Munh Phere
dam Bhar Jo Udhar Munh Phere, O Chanda
Main Unse Pyaar Kar Loongi, Baatein Hazaar Kar Loongi – 2 x

Translation: O Moon, If You Look The Other Way For A Moment
I Will Love And Communicate With My Lover

Dil Karta Hai Pyaar Ke Sajde – 2 x
Aur Main Bhi Unke Saath

My Heart Has Prayed For This Love
And I Am With My Lover

Chand Ko Chanda Roz Hi Dekhe
Meri Pehli Raat, Ho Meri Pehli Raat
Baadal Mein Ab Chhup Jaa Re O Chanda
Main Unse Pyaar Kar Loongi, Baatein Hazaar Kar Loongi

O Moon, Yu See Moonlight Everynight,
But This Is My First Night Alone With My Lover
O Moon, Please Hide In The Clouds

–MALE–
Dam Bhar Jo Idhar Munh Phere
Dam Bhar Jo Idhar Munh Phere, O Chanda
Main Unse Pyaar Kar Loonga, Nazrein To Chaar Kar Loonga
Main Chor Hoon, Kaam Hai Chori – 2 x
Duniya Mein Hoon Badnaam

I Am A Thief, Have A Reputation Of A Thief In The World And My Job Is To Steal

Dil Ko Churaata Aaya Hoon Main
Yehi Mera Kaam, Ho Yehi Mera Kaam
Aana Tu Gawaahi Dene, O Chanda
Main Unse Pyaar Kar Loonga, Nazrein To Chaar Kar Loonga

I Have Been Stealing Hearts And That Indeed Is What I Do
O Moon, Please Speak For Me On The Day Of Judgement
I Will Love Her And Look Into Her Eyes

–FEMALE–
Dil Ko Churaake Kho Mat Jaana – 2 x
Raah Na Jaana Bhool
In Kadmon Se Kuchal Na Dena
Mere Dil Ka Phool, Ho Mere Dil Ka Phool

Don’t Steal My Heart And Lose Your Way And Forget Me
Please Do Not Crush My Heart Which Is Delicate Like A Flower

Yeh Baat Unhe Samjha De, O Chanda
Main Unse Pyaar Kar Loongi, Baatein Hazaar Kar Loongi

Please Explain This To Him , O Moon

–MALE–
Dam Bhar Jo Idhar Munh Phere, O Chanda
Main Unse Pyaar Kar Loonga, Nazrein To Chaar Kar Loonga

–FEMALE–
Dam Bhar Jo Udhar Munh Phere