Hothon Mein Aisi Baat

Film: Jewel Thief
Jahr: 1967
Regie: Vijay Anand
Interpret: Lata Mangeshkar, Bhupinder & Chorus
Komponist: S.D. Burman
Lyrics: Majrooh

honthon men aisii baat main dabaake chalii aaii
khul jaaye vohii baat to duhaaii hai duhaaii
haan re haan, baat jisamen, pyaar to hai, zahar bhii hai, haay
honthon men …

ho shaaluu …
raat kaalii naagan sii huii hai javaan
haay dayyaa kisako Dansegaa ye samaa
jo dekhuun piichhe mudake
to pag men paayal tadape
aage chaluun to dhadakatii hai saarii anganaaii
honthon men …

ho shaaluu …
aise meraa jvaalaa saa tan laharaaye
lat kahiin jaae ghuunghat kahiin jaaye
are ab jhumakaa tuute
ke merii bindiyaa chhuute
ab to banake qayaamat letii huun angadaaii
honthon men …

Rulake Gaya Sapna Mera

Film: Jewel Thief
Jahr: 1967
Regie: Vijay Anand
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: S.D. Burman
Lyrics: Majrooh

rulaa ke gayaa sapanaa meraa
baiThii huun kab ho saveraa, rulaa …

vahii hai Gam-e-dil, vahii hai chandaa, taare
haay, vahii ham besahaare
aadhii raat vahii hai, aur har baat vahii hai
phir bhii na aayaa lu Teraa, rulaa …

kaisii ye zi.ndagii, ki saa.Nso.n se ham, uube
haay, ki dil Duubaa ham Duube
ek dukhiyaa bechaarii, is jiivan se haarii
us par ye Gam kaa andheraa, rulaa …

Rahega Ishq Tera Kaak

Film: Teesri Kasam (The Third Oath, The Third Vow)
Jahr: 1966
Regie: Basu Bhattacharya
Schauspieler: Waheeda Rehman, Raj Kapoor
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

rahega ishq tera kaak mein milake mujhe
hue hain ibteda mein ranj inteha ke mujhe

aa, aa bhi ja
raat dhalne lagi, ho, chand chhupane chala
ho aa, aa bhi ja

teri yaad mein bekabar, shama ki tarah raat bhar – 2 x
jali aarzu dil jalaa, aa, aa bhi ja

sitaaron ne munh pherkar kaha alvida hamsafar – 2 x
chala kaarvaan ab chalaa, aa, aa bhi ja

ufak par khadi hai sahar, andhera hai dil mein idhar – 2 x
wahi roz ka silsilaa, aa, aa bhi ja

raat dhalne lagi, chand chhupane chala
ho aa, aa bhi ja