Mohd. Rafi – Hoga Tumse Kal Bhi

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor, Sharmila Tagore
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

[youtube]1RRmbMmob_k[/youtube]
hoga tumse kal bhi samna kal toh janoge
Dilwala nachiz hai koyi tab toh manoge

Mausam hai Pyaar kaa yeh sama mere sath hain
Manzil hai meri ghadi do ghadi kee yeh bat hain la la la la …
hoga tumse kal …

aate ho jate ho mere khayalo me tum sada
banate ho kyo ajnabi yeh bhi kya hai koyi ada la la la la …
hoga tumse kal …

raho me milti ho chahe jidhar se jau mai
behtar hai ghar pe bula lo bata do kab aau mai, la la la la
hoga tumse kal

Ganga Meri Maa Ka Naam

Film: Timse Achcha Kaun Hai
Jahr: 1969
Komponist: Shankar-Jaikishen
Interpret: Mohd. Rafi
Schauspieler: Shammi Kapoor
Lyrics: Rajendar Krishan
Mit Ãœbersetzung / Translation (englische Untertitel im Video)

[youtube]1szwJKL1LGU[/youtube]
Na Main Sindhi, Na Main Marathi, Na Main Hoon Gujarati
Na To Hai Ek Bhasha Meri, Na Meri Ek Jaati

Aaa Aaa
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala – 2 x
Ab Tum Khud Hi Faisla Kar Lo, Main Kiss Zube Wala

Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala
Ab Tum Khud Hi Faisla Kar Lo, Main Kiss Zube Wala

Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala

Jiss Dharti Ka Main Beta Hoon Uss Ke Mausam Chaar – 2 x
Garmi Sardi Patjhad Aur Ableli Ritu Bahaar
Jahaan Savera
Jahaan Savera Gaata Aaye Raat Bajhaaye Sitaar, Raat Bajhaaye Sitaar
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala
Ab Tum Khud Hi Faisla Kar Lo, Main Kiss Zube Wala
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala

Main Woh Panchhi Jiss Ki Nisdin Laakhon Kos Udaan – 2 x
Uttar Dakkhin Purab Paschim Goonje Meri Taan
Ek Shaal Hai
Ek Shaal Hai Mera Jiss Ka Naam Hai Hindustan, Naam Hai Hindustan
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala
Ab Tum Khud Hi Faisla Kar Lo, Main Kiss Zube Wala
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala

Bangla Praant Mein Jaau To Main Karoon Kalaa Se Preet
Aaaa
Bangla Praant Mein Jaau To Main Karoon Kalaa Se Preet
Jab Aau Punjab To Bhangde Ka Ban Jaau Meet
Dakkhin Jaa Kar
Dakkhan Jaa Kar Seekha Maine Karnaatak Sangeet, Karnaatak Sangeet
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala
Ab Tum Khud Hi Faisla Kar Lo, Main Kiss Zube Wala
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala

Main Madrasi Main Gujarati Main Ek Rajasthani – 2 x
Bada Puraana Ek Marathi Naya Naya Haryani
Main Kuch Bhi Hoon
Main Kuch Bhi Hoon Lekin Sab Se Pehle Hindustani, Pehle Hindustani
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala
Ab Tum Khud Hi Faisla Kar Lo, Main Kiss Zube Wala
Ganga Meri Maa Ka Naam, Baap Ka Naam Himala

Neeli Neeli Ghata O Bheegi Bheegi

Film: Hum Hindustani
Jahr: 1960
Regie: Ram Mukherji
Interpreten: Mukesh, Asha Bhosle
Komponist: Usha Khanna
Lyrics: K.M. Manohar

Asha Bhosle: Nili-nili ghata,
O bhigi-bhigi hava
Hai nasha hi nasha
Kahin kho jaaen aa

Mukesh: Nili-nili ghata

Asha Bhosle: Mausam deewana,
Kaheta zamaana
Saawan ki mauj men,
Do dil akele hain

Mukesh: Teri nigaahen,
Meri nigaahen
Dono sharaabi hai
Masti ke mele hain
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Mukesh: Palakon se chhal ke
Gaalon pe dhalake
Saavan ki bundon men
Chanchal ishaare hain

Asha Bhosle: Samajho ishaara
De do sahaara
Tum bhi hamaare ho
Ham bhi tumhaare hain
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Asha Bhosle: Laharon ka aanchal
Saahil pe dole
Barakha ki raani bhi
Zulfon ko khole hai

Mukesh: Laharon men kho jaa
Ojhal tu ho ja
Manzil ye apani hai
Dil mera bole hai
Aa jhoomen zara
Nili-nili ghata

Mukesh: Mausam ka jaadu
Aankhen beqaabu
Puchhe tum hi se yeh
Hoga aur aage kya

Asha Bhosle: Jannat yahi hai
Mujh ko yaqeen hai
Mere paas tu jo hai
Dil aur maange kya
Aa jhoomen zara

Both: Nili-nili ghata