Aaj Kal Tere Mere Pyaar Ke Charche

Film: Brahmachari
Jahr: 1967
Regie: Bhappi Sonie
Schauspieler: Shammi Kapoor, Mumtaz
Interpreten: Mohd. Rafi, Suman Kalyanpur
Komponist: Shankar-Jaikishen

Aajkal Tere Mere Pyaar Ke Charche Har Zubaan Par
Sab Ko Maloom Hai Aur Sabko Khabar Ho Gayi

Translation: These days, there are discussions about our love story on every lip.
Everyone knows about and everyone else has been informed.

Humne To Pyaar Mein Aisa Kaam Kar Liya
Pyaar Ki Raah Mein Apna Naam Kar Liya
Aajkal Tere Mere …

We have done such a thing in love …
that we put our name down in the lane of love.

Do Badan Ek Dil Ek Jaan Ho Gaye
Manzilen Ek Hui Humsafar Ban Gaye
Aajkal Tere Mere …

We are two bodies, but we became one heart and one soul.
Our destination became the same so we became fellow-travelers.

Kyon Bhala Hum Daren Dil Ke Malik Hain Hum
Har Janam Mein Tujhe Apna Mana Sanam
Aajkal Tere Mere Pyaar Ke Charche Har Zubaan Par
Sab Ko Maloom Hai Aur Sabko Khabar Ho Gayi

Why should we be afraid? We are masters of our heart.
I consider you mine in every birth, dear.

Tum Ne Mujhe Dekha

Film: Teesri Manzil
Jahr: 1966
Regie: Vijay Anand
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: R.D. Burman
Lyrics: Majrooh Sultanpuri

tum ne muze dekhaa, ho kar meharabaan
ruk gayee ye jameen, tham gayaa aasamaan
jaana-ye-man jaana-ye-jaan

kahee dard kee seharaa me, rukate chalate hote
in hothhon kee hasarat me, tapate jalate hote
meharabaan ho gayee, julf kee badaliyaan
jaana-ye-man jaana-ye-jaan

lekar ye haseen jalawe, tum bhee naa kahaa pahuche
aakhir ko mere dil tak, kadamon ke nishaan pahuche
khatm se ho gaye, raaste sab yahaa
jaana-ye-man jaana-ye-jaan

Baharon Phool Barsaao

Film: Suraj
Jahr: 1966
Regie: T. Prakash Rao
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen

Live-Performance von Mohd. Rafi

Hm hm hm, mm mm
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai – 2 x
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
O laali phool ki mehndi laga in gore haathon mein – 2 x
Utar aa ae ghata kaajal laga in pyaari aankhon mein
Sitaaron maang bhar jaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Nazaaron har taraf ab taan do ek noor ki chaadar – 2 x
Bada sharmila dilbar hai, chala jaaye na sharmaakar
Zara tum dil ko behlaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehbooba aaya hai

Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Sajaayi hai jawaan kaliyon ne ab yeh sej ulfat ki – 2 x
Inhe maaloom tha aayegi ek din ruth mohabbat ki
Fizaaon rang bikhraao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Hawaaon raagini gaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Bahaaron phool barsaao, mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai