Mujhe Kitna Pyaar Hai

Film: Dil Tera Deewana
Jahr: 1962
Regie: B. Ramakrishnajah Panthulu
Schauspieler: Shammi Kapoor
Interpreten: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

(mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee Dil se puchho tum
jisase Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai) – 2 x

chahat ne teree mujhko kuchh iss tarah ghera
din ko hai tere charche rato ko khwab tera

tum ho jahan hai wahee par, rehta hai dil bhee mera
bas ek khayal tera kya, sham kya savera

mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai

yeh Duniya kaise badalee kuchh bhee samajh na aaye
kyon kar huye woh apne kal tak the jo paraye

Dil kee lagan ho sacchee phir kyon na Rang laye
mere the tum sada se par abb kareeb aaye

mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai

meree wafa ko abb toh tum aajmana chhodo
Dil ko churake mere Aankhe churana chhodo

mujh ko banane apna bate banana chhodo
mai kab na thee tumharee lekin satana chhodo

(mujhe kitna Pyaar hai tumse, apne hee Dil se puchho tum
jisse Dil diya hai woh tum ho, meree jindagee tumharee hai) – 2 x

Aaja Tujeh Ko Pukaare

Film: Neel Kamal
Jahr: 1968
Regie: Ram Maheshwari
Schauspieler: Raj Kumar, Waheeda Rehman
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Ravi
Lyrics: Kidar Sharma, Sahir Ludhianvi

aaaa aaja aaja aaja
aaaaaa aaja aaja aaja

tujh ko pukarey mera Pyaar hoo ho oo o
tujh ko pukarey mera Pyaar
aaja mein to mita hoon teri chah mein
tujh ko pukarey mera Pyaar

aakhri pal hein aakhri aahein tujhey dhoond rahi hein
doobti saansein bhujhti nigahein tujhey dhoond rahi hein
saamne aaja aik baar hoooo
aaja mein to mita hoon teri chah mein
tujh ko pukarey mera Pyaar

doono jahan ki bhent charha di mein ney chah mein teri
apney badan ki khaak mila di mein nay raah mein teri
ab to chali aa iss paar hooey
aaja mein to mita hoon teri chah mein
tujh ko pukarey mera Pyaar

itney ugoon tak itney dukhoon ko koi seh na sakey ga
teri qasam mujhey tu hay kisi koi keh na sakey gaa
mujh se hay teri iqraar hooey
aaja mein to mita hoon teri chah mein
tujh ko pukarey mera Pyaar

teri nazar ki oos parey to bujhey piyaas milan ki
terey badan ki oot mitey to rahey laaj lagan ki
mil jaaye chain qaarar haeyy
aaja mein to mita hoon teri chah mein
tujh ko pukarey mera Pyaar

tujh ko pukare mera Pyaar

Sharma Ke Yun Na Dekh

Film: Neel Kamal
Jahr: 1968
Regie: Ram Maheshwari
Schauspieler: Raj Kumar, Waheeda Rehman
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Ravi
Lyrics: Kidar Sharma, Sahir Ludhianvi

Sharama Ke Yun Na Dekh Ada Ke Maqaam Se
Ab Baat Badh Chuki Hai Nazar Ke Maqaam Se
Sharma Ke Yun Na
Tasveer Khinch Li Hai Tere Shok Husn Ki
Meri Nazar Ne Aaj Khata Ke Maqaam Se
Sharma Ke Yun Na
Duniya Ko Bhool Kar Meri Baanhon Men Jhool Ja
Aavaaz De Raha Hun Vafa Ke Maqaam Se
Sharma Ke Yun Na …
Dil Ke Muaamale Men Natije Ki Fiqr Kya
Aage Hai Ishq Zurm-O-Saza Ke Maqaam Se
Sharma Ke Yun Na