Film: Shree 420
Jahr: 1955
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpret: Manna Dey
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra, Hasrat Jaipuri
Dil ka haal sune dil waala
Seedhi si baat na mirch masaala
Kehke rahega kehne waala
Dil ka haal sune dil waala
Chhote se ghar mein gareeb ka beta
Main bhi hu maan ke naseeb ka beta – 2 x
Ranj-o-gham bachpan ke saathi
Aandhiyo mein jali jeewan baati
Bhukh ne hain bade pyaar se paala
Dil ka haal sune dil waala
(Haay karu kya surat aisi,
Gaanthhke poore chor ke jaisi) – 2 x
Chalta phirta jaanke ek din,
Bina dekhe pehchaan ke ek din
Baandhke le gaya pulis waala
Dil ka haal sune dil waala
Budhhe daaroga ne chashme se dekha – 2 x
Aage se dekha peechhe se dekha,
Upar se dekha neeche se dekha
Bola ye kya kar baithhe ghotaala,
Haay ye kya kar baithhe ghotaala
Ye to hai thaanedaar ka saala
Dil ka haal sune dil waala
Gham se abhi azaad nahi main
Khush magar aabaad nahi main – 2 x
Manzil mere paas khadi hai,
Paau mein lekin bedi padi hai
Taanga deta hai daulat waala,
Dil ka haal sune dil waala
Sun lo magar ye kisi se na kehna
Tinke ka leke sahaara na behna – 2 x
Bin mausammal haar na gaana,
Aadhi raat ko machchil laana
Varna pakad lega pulis waala
Dil ka haal sune dil waala