Babul Ki Duayein Leti Jaa

Film: Neel Kamal
Jahr: 1968
Regie: Ram Maheshwari
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Ravi
Lyrics: Kidar Sharma, Sahir Ludhianvi

Babul ki duayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile – 2 x
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile

Naazon se tujhe paala maine
Kaliyon ki tarah, phoolon ki tarah
Bachpan mein jhulaya hai tujhko
Baahon ne meri jholon ki tarah
Mere baagh ki ae nazok dali
Tujhe harpal nayi bahaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasural mein itna pyaar mile

Is ghar se bandhe hain bhag tere
Us ghar mein sadaa tera raag rahe
Honton pe hansi ki dhop khile
Mathe pe khushi ka daag rahe
Kabhi jiski jyot na ho pheeki
Tujhe aisa roop singaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasural mein itna pyaar mile

Beete tere jeevan ki ghadiyan
Aaram ki thandi chhaon mein
Kaanta bhi na chhubne paaye kabhi
Meri laadli tere paon mein
Us baar se bhi dukh door rahe
Jis baar se tera baar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Babul ki duayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansar mile
Babul ki duayein leti jaa

Jab Pyaar Kisi Se Hota Hai (When You Love Someone)

Film: Jab Pyaar Kisi Se Hota Hai (When Someone’s In Love)
Jahr: 1961
Regie: Nasir Hussain
Schauspieler: Asha Parekh, Dev Anand
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen

ho ho!! aah haa …
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil kaa pardaa khol do – 2
aah haa aa ….
jab pyaar kisi se hota hai
to dard saa dil mein hota hai
tum ek haseen ho laakhon mein
bhalaa paake tumhe koi khota hai
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do

nazaron se kitne teer chale
chalne do jigar par jhelenge
in pyaar ki ujali raahon par
ham jaan ki baazi khelenge
in do nainon ke saagar mein
koi dil ki naiyaa dubota hai
o jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil ka parda khol do …

tum bhi to is aag mein jalte ho
chehare se bayaan ho jata hain
har baat pe aahe bharte ho
har baat pe dil tharraataa hai
jab dil pe chhuriyaan chalati hain
to chain se koi sotaa hai
jiyaa o, jiyaa o jiyaa kuchh bol do
are o, dil kaa pardaa khol do

Suhana Safar

Film: Madhumati
Jahr: 1958
Regie: Bimal Roy
Interpret: Mukesh
Komponist: Salil Chowdhury

Suhana safar aur yeh mausam haseen -2
Humein darr hai hum kho na jaaye kahin
Suhana safar..

Yeh kaun hansta hai phoolon mein chhupkar
Bahar bechain hai jiski dhun par -2
Kahin gungun, kahin runjhun
Ki jaise nache zameen
Suhana safar…

Yeh gori nadiyon ka chalna uchhalkar
Ki jaise allhad chale pi se milkar -2
Pyaare pyaare yeh nazare nisar hai har kahin
Suhana safar…

Ho ho ho …
Woh aasman jhuk raha hai zameen par
Yeh milan humne dekha yahin par -2
Meri duniya, mere sapne milenge shaayad yahin
Suhana safar…