Pyaar Zindagi Hai

Film: Muqaddar Ka Sikandar
Jahr: 1978
Regie: Prakash Mehra
Schauspieler: Amitabh Bachchan
Interpreten: Asha Bhosle, Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Anjaan

Pyaar Zindagi Hai, Pyaar Bandagi Hai, Bandagi Hai
Yahallaa Yahallaa Uu Yaa Allaah
Pyaar Se Pyaar Karo Ye Umr Pyaar Ki Hai
Pyaar Binaa Kyaa Jinaa, Ye Bhi Koi Zindagi Hai, Pyaar
Pyaar Karam Pyaar Duaa, Pyaar Sitam Pyaar Vafaa
Pyaar Se Judaa To Yahaan Koi Nahin Koi Nahin

Pyaar Khushi Pyaar Nashaa, Kyaa Vo Najar Kyaa Vo Adaa
Ho Kisi Ke Pyaar Men Jo Koi Nahin Koi Nahin
Dil Ko Lagaa Ke Dekho Pyaar Men Kyaa Khushi Hai
Pyaar Binaa Kyaa Jinaa Ye Bhi Koi Zindagi Hai, Pyaar

Dur Rahe Paas Rahe, Dil Men Tere Pyaas Rahe
Tere Liye Main Huun Tuu Hai Mere Liye Mere Liye
Pyaar Sanam Pyaar Khudaa, Yaar Kabhi Ho Naa Judaa
Yaar Binaa Koi Yahaan Kaise Jiye Kaise Jiye
Baahon Men Yaar Ke Hi Duniyaa Bahaar Ki Hai, Pyaar
Dekh Hamen Koi Jale, Koi Jale Haath Male
Tuu Jo Mere Saath Chale Logon Se Kyaa Daranaa Yahaan
Pyaar Yahaan Jo Naa Kare, Kaak Jiye Kak Mare
Yaar Mere Tere Liye Jinaa Yahaan Maranaa Yahaan
Marake Bhi Naa Mite Jo Ye Vo Divaanagi Hai, Pyaar

Pyaar Kiya To Darna

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Insaan kisee se duniyaan me
Yek baar mohabbat karataa hai
Is dard ko lekar jiitaa hai
Is dard ko lekar marataa hai

Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Pyaar kiyaa koi chori nahin ki
Pyaar kiyaa
Pyaar kiyaa koi chori nahin ki
Chhuup chhuup aahe bharnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Aaj kahenge dil kaa fasaanaa
Jaan bhee le le chaahe zamaanaa
Aaj kahenge dil kaa fasaanaa
Jaan bhee le le chaahe zamaanaa
Maut wahii jo duniyaan dekhe
Maut wahii jo duniyaan dekhe
Ghunt ghunt kar yu marnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Unki tamannaa dil mein rahegii
Shammaa ise mahafil mein rahegii
Unki tamannaa dil mein rahegi
Shammaa ise mahafil mein rahegi
Ishq mein jiinaa ishq mein marnaa
Ishq mein jiinaa ishq mein marnaa
Aaur humei ab karnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Chhuup naa sakegaa ishq hamaaraa
Chaaro taraf hain unkaa nazaaraa

Aaaaaaaaaaaaaahaaaaaaaaaaaaaaa
Chhuup naa sakegaa ishq hamaaraa
Chaaro taraf hain unkaa nazaaraa

Pardaa nahin jab koi khudaa se
Pardaa nahin jab koi khudaa se
Bando se pardaa karnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Pyaar kiyaa to darnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Pyaar kiyaa koi chori nahin ki
Chhuup chhuup aahe bharnaa kyaa
Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa

Dil Tera Deewana

Film: Dil Tera Deewana
Jahr: 1962
Regie: B. Ramakrishnajah Panthulu
Schauspieler: Shammi Kapoor
Interpreten: Mohd. Rafi, Lata Mangeshkar
Komponist: Shankar-Jaikishen

Lyrics:
Mohd. Rafi: bijali giraake aap khud bijali se darr gaye
hum saadgi pe aap ki leellaah mar gaye haaye haaye haaye

Mohd. Rafi: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Lata Mangeshkar: jaante ho tum kuch na kahenge hum – 2 x
(Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam haaye
Lata Mangeshkar: mohabbat ki kasam) – 2 x

Mohd. Rafi: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Lata Mangeshkar: jaante ho tum kuch na kahenge hum – 2 x
(Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam haaye
Lata Mangeshkar: mohabbat ki kasam) – 2 x

Lata Mangeshkar: pyaar ke albele yeh humsafar
chal denge le jaayega dil jidhar
Mohd. Rafi: raah mein kho jaayenge aaj to – 2 x
haaye manzil kahaan hai hume kya khabar
Lata Mangeshkar: kuch chaahat ka asar kuch mausam ka asar
Mohd. Rafi: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Lata Mangeshkar: jaante ho tum kuch na kahenge hum ho – 2 x
(Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam
Lata Mangeshkar: mohabbat ki kasam) – 2 x

Mohd. Rafi: teri aankhon mein jo suroor hai
saara issi ka to kusoor hai
Lata Mangeshkar: saiya anjaane nazre pyaar ki – 2 x
nadaan yeh dil mera majhboor hai
Mohd. Rafi: jeevan mein ek baar khud ho jaata hai pyaar
Lata Mangeshkar: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Mohd. Rafi: jaante ho tum kuch na kahenge hum – 2 x
Lata Mangeshkar: mohabbat ki kasam
Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam

Lata Mangeshkar: kya kejee koyi mann bhaa gaya
dil mein hamara woh sama gaya
Mohd. Rafi: hans ke kissi ne dekha ek baar – 2 x
haaye dil ki muraade koi paa gaya
Lata Mangeshkar: saanso mein meethi aag hothon pe meetha raag
Mohd. Rafi: dil tera deewana hai sanam – 2 x
Lata Mangeshkar: jaante ho tum kuch na kahenge hum – 2 x
(Mohd. Rafi: mohabbat ki kasam
Lata Mangeshka: mohabbat ki kasam) – 4 x