Mausam Hai Aashiqana

Film: Pakeezah – The Pure – Die Reine
Jahr: 1972
Regie: Kamal Amrohi
Schauspieler: Meena Kumari, Raaj Kumar
Interpretin: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Ghulam Mohammed

mausam hain aashikaanaa
aye dil kahee se unako ayese mein dhoondh laanaa

Translation: The weather is amorous Oh heart, somewhere,
find him just like this (like the weather)!
The weather is amorous
Oh heart, somewhere, find him in just this state!
The weather is amorous.

kahanaa ke rut jawaa hai, aaur hum taras rahe hain
kaalee ghataa ke saaye, birahan ko das rahe hain
dar hain naa maar daale, saawan kaa kyaa thhikaanaa

Say that the season is young, and I am longing for him.
The shadows of black clouds are stinging me.
I fear they will murder me. How can one rely on the rains?
The weather is amorous.

sooraj kahee bhee jaaye, tum par naa dhup aaye
tum ko pukaarate hai, in gesooon ke saaye
aa jaao main banaa doo, palakon kaa shaamiyaanaa

Wherever the sun may go, sunlight doesn’t come to you.
Come, the shadows on my hair are calling you.
Come, I will make a canopy of my eyelashes
The weather is amorous.

firate hain hum akele, baaho mein koee lele
aakhir koee kahaa tak tanahaeeyon se khele
din ho gaye hain jaalim raate hain katilaanaa

I wander alone in circles; someone take me in his arms!
After all, where can someone play with loneliness?
The days have become cruel; the nights are murderous
The weather is amorous.

ye raat ye khaamoshee, ye khwaab se najaare
juganoo hain yaa jameen par, utare huye hain taare
bekhaab meree aankhe, madahosh hain jamaanaa

This night, this silence, these dream-like sights
Are they fireflies, or are they stars fallen to earth?
My eyes are dreamless; the world is intoxicated
The weather is amorous. The weather is amorous
Oh heart, somewhere, find him just so.

Aaj Hum Apni Duaon Ka

Film: Pakeezah – The Pure – Die Reine
Jahr: 1972
Regie: Kamal Amrohi
Schauspieler: Meena Kumari, Raj Kumar
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Ghulam Mohammed

aaj ham apani duaaon ka asar dekhenge
tir-e-nazar dekhenge, zakhm-e-jigar dekhenge – 2 x

Translation: Today I shall see the effects of my prayers:
I shall see glances like arrows and wounds of the heart – 2 x

aap to aankh milaate hue sharamaate hain,
aap to dil ke dhadakane se bhi dar jaate hain

Meeting my eyes, you are bashful;
you fear even the beating of your heart.

phir bhi ye ziddh hai ke ham zakhm-e-jigar dekhenge,
tir-e-nazar dekhenge, zakhm-e-jigar dekhenge – 2 x

Even so, I’m determined to see the wounds of the heart.
I shall see glances like arrows and wounds of the heart …

pyaar karana dil-e-betaab bura hota hai
sunate aaye hain ke ye khvaab bura hota hai
aaj is kvaab ki taabeer magar dekhenge
tir-e-nazar dekhenge, zakhm-e-jigar dekhenge (2)

It is wrong for the weak of heart to love …
I have come knowing (hearing) that this dream is wrong.
Today if I see the passion of this dream,
I will see glances like arrows and wounds of the heart …

jaanaleva hai muhabbat ka sama aaj ki raat
shama ho jayegi jal jal ke dhuna aaj ki raat
aaj ki raat bachenge to sahar dekhenge – 2 x
tir-e-nazar dekhenge, zakhm-e-jigar dekhenge – 2 x

Tonight, love’s view is deadly.
Tonight, a burning lamp shall become water and smoke
I shall survive tonight, I shall see the dawn …
I shall see glances like arrows and wounds of the heart …

Salaam-E-Ishq

Film: Muqaddar Ka Sikandar
Jahr: 1978
Regie: Praka Mehra
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Kalyanji-Anandji
Lyrics: Anjaan

Salaam-e-ishq meri jaan zara kabool kar lo – 2 x
Tum humse pyaar karne ki zara si bhool kar lo
mera dil bechain hai
mera dil bechain hai humsafar ke liye – 2 x
Salaam-e-ishq meri jaan …

Main sunaoon tumhe baat ik raat ki – 2 x
Chand bhi apni puri jawani mein tha
Dil mein tufaan tha
Ek Armaan tha
Dil ka tufaan apni rawani mein tha
Ek badal …
Ek badal udhar se chala jhoom ke
Dekhte dekhte chand pe chha gaya
Chand bhi kho gaya uske aaghosh mein
Uff, yeh kya ho gaya josh hi josh mein
Mera dil tadpa
Mera dil tadpa kisi ki nazar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan …

Iske aage ki ab dastaan mujhse sun – 2 x
Sun ke teri nazar dabdaba jayagi
Baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi,
Mera dawa hai hoton pe aa jayegi

Tu masiha …
Tu masiha mohabbat ke maron ka hai – 2 x
Hum tera naam sun kar chale aaye hain
Ab dua de hamein ya tu de de zeher
Teri mehfil mein ye dil jale aaye hain
Ek ehsaan kar …
Ehsaan kar
Ek ehsaan kar, apne mehmaan par
Apne mehmaan par ek ehsaan kar
De Duaein
De Duaein use umra bhar ke liye
Salaam-e-ishq meri jaan …