Sheesha Ho Ya Dil Ho

Film: Aasha – Hope
Jahr: 1979
Regie: J. Om Prakash
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: C. Ramchandra
Lyrics: Rajendra Krishan

Ho, aa, aa
Sheesha ho ya dil ho – 2
Aakhir (toot jaata hai) – 4
Lab tak aate aate haathon se
Sagar (choot jaata hai) – 3
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir toot jaata hai

Ho Kaafi bas armaan nahin
Kuch milna aasaan nahin
Duniya ki majboori hai
Phir taqdeer zaroori hai
Yeh jo dushman hai aise
Donon raazi ho kaise
Ek ko manao to duja (rooth jaata hai) – 3
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir toot jaata hai

(Baithe the kinare pe
Maujon ke ishare pe) – 2
Ham khelein toofanon se
Is dil ke armaanon se
Hamko yeh maloom na tha
Koi saath nahin deta – 2
Maajhi chod jaata hai
Saahil (choot jaata hai) – 3
Sheesha ho ya dil ho – 2
Aakhir (toot jaata hai) – 4
Sheesha ho ya dil ho

Duniya ek tamasha hai
Aasha aur nirasha hai
Thode phool hai kaante hai
Jo taqdeer ne baante hain
Apna apna hissa hai
Apna apna kissa hai
Koi lut jaata hai
Koi (loot jaata hai) – 3
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir (toot jaata hai) – 4
Lab tak aate aate haathon se
Sagar (choot jaata hai) – 3
Sheesha ho ya dil ho

Neele Gagan Ke Tale

Film: Hamraaz
Jahr: 1969
Regie: B.R. Chopra
Interpret: Mahendra Kapoor
Komponist: Ravi
Lyrics: Sahir Ludhianvi

He… neele gagan ke tale, dharti ka pyaar pale – 2
Aise hi jag mein, aati hain subahein, aise hi shaam dhhale…
He… neele gagan ke tale, dharti ka pyaar pale

Shabnam ke moti, phoolon pe bikhre, dono ki aas phale …
He… neele gagan ke tale, dharti ka pyaar pale

Balkhaati belen, masti mein khelen, pedon se mil ke gale…
He… neele gagan ke tale, dharti ka pyaar pale

Nadiya ka paani, dariya se mil ke, saagar ki aur chale …
He… neele gagan ke tale, dharti ka pyaar pale
Aise hi jag mein, aati hain subahein, aise hi shaam dhhale…
He… neele gagan ke tale, dharti ka pyaar pale
Aa…aa…aa…
He… neele gagan ke tale, dharti ka pyaar pale
He… la ra lala la lalala…la ralalala…

Dost Dost Na Raha

Film: Sangam
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Rajendra Kumar
Jahr: 1964
Interpret: Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen

Dost dost na raha, pyaar pyaar naa raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha

Amaanatein main pyaar ki, gaya tha jisko saunp kar
Woh mere dost tum hi the, tumhi to the
Jo zindagi ki raah me bane the mere hamsafar
Woh mere dost tum hi the, tumhi to the
Saare bhed khul gaye, raazdaar na raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha
Dost dost na raha…

Safar ke waqt mein palak pe motiyo ko taulti
Woh tum na thi to kaun tha tumhi to thi
Nashe ki raat dhhal gayi ab khumaar na raha
Zindagi hamein tera, aitbaar na raha, aitbaar na raha
Dost dost na raha…