Evening in Paris – Aji Aisa Mauka Phir Kahan Milega

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

Aji Aisa Mauka Phir Kahan Milega
Hamare Jaisa Dil Kahan Milega
Aao Tumko Dikhlata Hoon Paris Ki Ek Rangeen Sham
Dekho Dekho Dekho Dekho Dekho
An Evening In Paris

Dekho Ye Pariyon Ki Toli
Meethi Meethi Jinki Boli
Kya Kya Dil Par Rang Jamaye
Jalwon Ki Yeh Aankh Micholi
Aji Aisa …

Haathon Mein Haath Daaley
Phirte Hain Aashiq Niraley
Dhoondo Yahan Tum Bhi Saathi
Mil Jaaenge Husnwale
Aji Aisa …

Apne Dil Ka Daaman Bhar Lo
Mar Jaaoge Pyaar Karlo
Kal Ka Sapna Kisne Dekha
In Rahon Se Aaj Guzarlo
Aji Aisa …

Aasman Se Aaya Farishta

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor, Sharmila Tagore
Interpret: Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Chorus: la la la la la la
Mohd. Rafi: o jaaneman dilara, ek nazar idhar bhi

aasman se aaya farishta pyaar ka sabak sikhlaane
dil mein hai tasveer yaar ki laya hoon woh dikhlaane – 2 x

kaho pyaar hai tumse
Sharmila: ja ja
o jaana kaho pyaar hai tumse
Sharmila: ja ja ja

Chorus: la la la la la la la la la la

seekho zara seekho andaaz pyaar ka hum se tum
kar lo aji kar lo iqraar pyaar ka hum se tum – 2 x

aasman se aaya farishta pyaar ka sabak sikhlaane
dil mein hai tasveer yaar ki laya hoon woh dikhlaane – 2 x

kaho pyaar hai tumse
Sharmila: ja ja
o jaana kaho pyaar hai tumse
Sharmila: ja ja ja

Chorus: la la la la la la la la la la

dilbar teri khaatir main chand chhod kar aaya hoon
dene nazrana main apne pyaar ko laya hoon – 2 x
aasman se aaya farishta pyaar ka sabak sikhlaane
dil mein hai tasveer yaar ki laya hoon woh dikhlaane – 2 x
kaho pyaar hai tumse
Sharmila: oh silly
o jaana kaho pyaar hai tumse
Sharmila: don’t be silly

Chorus: la la la la la la la la la la

saaya hoon main tera tere saath saath hi aaunga
aashiq hoon main tera baahon se baandh le jaaunga – 2 x
aasman se aaya farishta pyaar ka sabak sikhlaane
dil mein hai tasveer yaar ki laya hoon woh dikhlaane – 2 x

kaho pyaar hai tumse
Sharmila: hmm?
o jaana kaho pyaar hai tumse
Sharmila: uh huh
kaho pyaar hai tumse
Sharmila: haan
o jaana kaho pyaar hai tumse
Sharmila: haan haan
kaho pyaar hai tumse
Sharmila: kahaa na
o jaana kaho pyaar hai tumse
Sharmila: haan haan hai
kaho pyaar hai tumse
Sharmila: hmm

Badan Pe Sitare

Film: Prince
Jahr: 1969
Regie: Lekh Tandon
Schauspieler: Shammi Kapoor, Helen, Vyjayanthimala
Interpret: Mohd. Rafi

Badan Pe Sitaare Lapate Huye
O jaane tamanna kidhar ja rahi ho
Zara paas aayo, to chain aa jaaye
Zara Paas Aayo to chain aa jaaye

Hameiin Jab na honge to aye dil rubaan
Kise dekh kar haaye sharmaayo gi
Na dekhogi phir tum kabhi aaina
Hamare bina roz ghabraayo gi

Badan Pe Sitaare Lapate Huye …

Hai ban ne sawar ne ka jab hi maza
Koyi dekhne wala aashiq to ho
Nahi to yeh jalwe hain bhujte diye
Koyi mitne wala ek aashiq to ho

Badan Pe Sitaare Lapate huye …

Mohabbat ki yeh intaha ho gayi
Ke Masti mein tumko khuda keh gaya
Zamana yeh insaaf karta raha
Bura keh gaya yah bbhala keh gaya

Badan pe sitaare lapate huye
O jaane tamanna kidhar jaa rahi ho
Zara paas aayo, to chain aa jaye …

[youtube]0HHQdjkfx-Q[/youtube]
Mohd. Rafi live