Raat Ke Hamsafar

Film: An Evening In Paris
Jahr: 1966
Regie: Shakti Samanta
Schauspieler: Shammi Kapoor, Sharmila
Interpreten: Asha Bhosle, Mohd. Rafi
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Hasrat Jaipuri

Raat Ke Hamsafar, Thak Ke Ghar Ko Chale
Jhoomti Aa Rahi Hai Subah Pyaar Ki
Dekh Kar Saamne, Roop Ki Roshani
Phir Luti Ja Rahi Hai Subah Pyaar Ki

Raat Ne Pyaar Ke Jaam Bhar Kar Diye
Aankhon Aankhon Se Jo Main Ne Tumne Piye
Hosh To Ab Talaq Ja Ke Laute Nahi
Jaane Kya La Rahi Hai Subah Pyaar Ki
Raat Ke Hamasafar …

Sajanwa Bairee Ho Gaye Humaar

Film: Teesri Kasam (The Third Oath, The Third Vow)
Jahr: 1966
Regie: Basu Bhattacharya
Interpret: Mukesh
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra

Gesungen von Kusum Sharma

Sajanavaa Bairi Ho Gaye Hamaar – 2 x
Chithiyaa Ho To Har Koi Baanche – 2 x

Translation: My Love One Has Become My Enemy
If It Was A Letter, I Would Share It With Someone

Bhaag Naa Baanche Koy
Karamavaa Bairi Ho Gaye Hamaar

But One Can Not Share Their Fate With Anyone
My Actions Have Gone Against Me

Jaae Base Parades Sajanavaa Sautan Ke Bharamaae – 2 x
Naa Sandes Naa Koi Khabariyaa, Rut Aae Rut Jaae

My Beloved Loves Another Women And Have Setteled In Another Town With Her
I Have No News Or Message From Him, The Seasons Come And Go

Duub Gae Ham Bich Bhanvar Mein – 2 x
Karake Solah Paar

I Have Drowned In The Middle Of A Whirlpool
After Surviving 16

Sajanavaa Bairi Ho Gaye Hamaar
Suuni Sej God Mori Suuni Marm Naa Jaane Koy – 2 x

My Bed Is Empty And So Is My Lap
No One Knows How To Treat The Pain

Chhatapat Tadape Preet Bichaari Mamataa Aansuu Roe
Naa Koi Is Paar Hamaara – 2 x
Naa Koi Us Paar

My Love For Him Is Agonized And My Maternal Feelings Are Shedding Tears
I Have No One That I Can Call Mine
Or On This Side Of The River

Dil Ka Haal Sune Dilwala

Film: Shree 420
Jahr: 1955
Regie: Raj Kapoor
Schauspieler: Raj Kapoor, Nargis
Interpret: Manna Dey
Komponist: Shankar-Jaikishen
Lyrics: Shailendra, Hasrat Jaipuri

Dil ka haal sune dil waala
Seedhi si baat na mirch masaala
Kehke rahega kehne waala
Dil ka haal sune dil waala
Chhote se ghar mein gareeb ka beta
Main bhi hu maan ke naseeb ka beta – 2 x
Ranj-o-gham bachpan ke saathi
Aandhiyo mein jali jeewan baati
Bhukh ne hain bade pyaar se paala
Dil ka haal sune dil waala

(Haay karu kya surat aisi,
Gaanthhke poore chor ke jaisi) – 2 x
Chalta phirta jaanke ek din,
Bina dekhe pehchaan ke ek din
Baandhke le gaya pulis waala
Dil ka haal sune dil waala

Budhhe daaroga ne chashme se dekha – 2 x
Aage se dekha peechhe se dekha,
Upar se dekha neeche se dekha
Bola ye kya kar baithhe ghotaala,
Haay ye kya kar baithhe ghotaala
Ye to hai thaanedaar ka saala
Dil ka haal sune dil waala

Gham se abhi azaad nahi main
Khush magar aabaad nahi main – 2 x
Manzil mere paas khadi hai,
Paau mein lekin bedi padi hai
Taanga deta hai daulat waala,
Dil ka haal sune dil waala

Sun lo magar ye kisi se na kehna
Tinke ka leke sahaara na behna – 2 x
Bin mausammal haar na gaana,
Aadhi raat ko machchil laana
Varna pakad lega pulis waala
Dil ka haal sune dil waala