Jai Ho

Film: Slumdog Millionaire
Jahr: 2008
Regie: Danny Boyle
Interpreten: Sukhwinder Singh, Tanvi Shah, Mahalakshmi Iyer
Komponist: A.R. Rahman

Lyrics:
Jai Ho Jai Ho Jai Ho Jai Ho
Aaja Aaja Jind Shamiyane Ke Tale
Aaja Jariwale Nile Aasman Ke Tale
Jai Ho Jai Ho

Aaja Aaja Jind Shamiyane Ke Tale
Aaja Jariwale Nile Aasman Ke Tale
Jai Ho Jai Ho
Jai Ho Jai Ho

Ratti Ratti Sachi Maine Jaan Gavayi Hai
Nach Nach Koylo Pe Raat Bitayi Hai
Akhiyon Ki Neend Maine Phoonko Se Uda Di
Neele Tare Se Maine Ungli Jalayi Hai
Aaja Aaja Jind Shamiyane Ke Tale
Aaja Jariwale Nile Aasman Ke Tale
Jai Ho Jai Ho
Jai Ho Jai Ho

Jai Ho Jai Ho
Jai Ho Jai Ho
Chakh Le Ho Chakh Le Ye Raat Shahad Hai Chakh Le
Rakh Le Haan Dil Hai Dil Aakhri Had Hai Rakh Le
Kala Kala Kajal Tera Koi Kala Jadoo Hai Na

Kala Kala Kajal Tera Koi Kala Jadoo Hai Na
Aaja Aaja Jind Shamiyane Ke Tale
Aaja Jariwale Nile Aasman Ke Tale, Jai Ho, Jai Ho
Jai Ho Jai Ho
Jai Ho Jai Ho

Kab Se Ha Kab Se Tu Lab Pe Ruki Hai Keh De
Keh De Ha Keh De Ab Aankh Jhuki Hai.. Keh De

Aisi Aisi Roshan Aankhe Roshan Dono Bhi Hai Hai Kya
Aaja Aaja Jind Shamiyane Ke Tale
Aaja Jariwale Nile Aasman Ke Tale
Jai Ho Jai Ho
Jai Ho Jai Ho

Ye Dil Ki Lagi

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Ye Dil Ki Lagi Kam Kya Hogi
Ye Ishq Bhala Kam Kya Hoga
Jab Raat Hai Aisi Matavaali – 2 x
Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga – 2 x

Nagamo Se Barasati Hai Masti
Chhalake Hain Khushi Ke Paimaane – 2 x
Aaj Aisi Bahaaren Aai Hain
Kal Jinake Banenge Afasaane – 2 x
Ab Ise Jyaada Aur Haseen Ye Pyaar Ka Mausam Kya Hoga – 2 x
Jab Raat Hai Aisi Matavaali
Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga – 2 x

Ye Aaj Ka Rang Aur Ye Mahafil
Dil Bhi Hai Yahaan Diladaar Bhi Hai – 2 x
Aankhon Mein Kayaamat Ke Jalave
Seene Mein Sulagata Pyaar Bhi Hai – 2 x
Is Rang Mein Koi Ji Le Agar Marane Ka Use Gam Kya Hoga – 2 x
Jab Raat Hai Aisi Matavaali
Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga – 2 x

Haalat Hai Ajab Divaanon Ki
Ab Khair Nahi Paravaanon Ki – 2 x
Anjaam-e-mohabbat Kya Kahiye
Laya Badhane Lagi Aramaanon Ki – 2 x
Aise Mein Jo Paayal Toot Gayi Phir Ai Mere Hamadam Kya Hoga – 2 x
Jab Raat Hai Aisi Matavaali – 2 x
Phir Subah Ka Aalam Kya Hoga – 2 x

Tere Mehfil Mein

Film: Mughal-E-Azam
Jahr: 1960
Regie: K. Asif
Interpret: Lata Mangeshkar
Komponist: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni

Teri Mehfil Mein Kismat Aazmakar Hum Bhi Dekhenge
Haan Ji Haan Hum Bhi Dekhenge
Ik Ghadi Bhar To Tere Kareeb Aakar Hum Bhi Dekhenge
Tere Kadmon Mein Sir Apna Jhukakar Hum Bhi Dekhenge
Haan Ji Haan Hum Bhi Dekhenge

Mohabbat Karne Walon Ka Bas Yahi Hai Afsana
Tadapna Chupke Chupke Aahen Bharna,
Ghut Ghut Ke Mar Jana
Kisi Din Yeh Tamasha Muskurakar Hum Bhi Dekhenge
Hann Ji Haan Hum Bhi Dekhenge

Mohabbat Humne Maana Zindagi Barbaat Karti Hain
Yeh Kya Kam Hai Ke Mar Jaane Pe Duniya Yaad Karti Hain
Kisi Ke Ishq Mein Duniya Luta Kar Hum Bhi Dekhenge
Haan Ji Haan Hum Bhi Dekhenge